Urdu Shayari

Jab us ki tasvir banaya karta tha..

jab us ki tasvir banaya karta tha
kamra rangon se bhar jaaya karta tha

ped mujhe hasrat se dekha karte the
main jangal men paani laaya karta tha

thak jaata tha badal saaya karte karte
aur phir main badal pe saaya karta tha

baiTha rahta tha sahil pe saara din
dariya mujh se jaan chhuḌaya karta thā

bint-e-sahra ruTha karti thi mujh se
main sahra se ret churaya karta tha
---------------------------------------
जब उसकी तस्वीर बनाया करता था,
कमरा रंगों से भर जाया करता था।

पेड़ मुझे हसरत से देखा करते थे,
मैं जंगल में पानी लाया करता था।

थक जाता था बादल साया करते-करते,
और फिर मैं बादल पर साया करता था।

बैठा रहता था साहिल पे सारा दिन,
दरिया मुझसे जान छुड़ाया करता था।

बिन्त-ए-सहरा रूठा करती थी मुझसे,
मैं सहरा से रेत चुराया करता था।

Read more

Ik haveli huun us ka dar bhi huun..

ik haveli huun us ka dar bhi huun
ḳhud hi angan ḳhud hi shajar bhi huun

apni masti men bahta dariya huun
main kinara bhi huun bhanvar bhi huun

asman aur zamin ki vusat dekh
main idhar bhi huun aur udhar bhi huun

ḳhud hi main ḳhud ko likh raha huun ḳhat
aur main apna nama-bar bhi huun

dastan huun main ik tavil magar
tu jo sun le to muḳhtasar bhi huun

ek phaldar ped huun lekin
vaqt aane pe be-samar bhi huun
-----------------------------------
एक हवेली हूँ, उसका दर भी हूँ,
खुद ही आँगन, खुद ही शजर भी हूँ।

अपनी मस्ती में बहता दरिया हूँ,
मैं किनारा भी हूँ, भँवर भी हूँ।

आसमां और जमीन की वुसअत देख,
मैं इधर भी हूँ और उधर भी हूँ।

खुद ही मैं खुद को लिख रहा हूँ ख़त,
और मैं अपना नामबर भी हूँ।

दास्तां हूँ मैं एक तवील मगर,
तू जो सुन ले तो मुख़्तसर भी हूँ।

एक फलदार पेड़ हूँ लेकिन,
वक्त आने पर बेसमर भी हूँ।

Read more