1- Khel dono ka chale, teen ka daana na pade
Seedhiyan aati rahen, saanp ka khaana na pade
Dekhe me’maar, parinde bhi rahen, ghar bhi bane
Naqsha aisa ho koi ped giraana na pade
Mere honton pe kisi lams ki khwahish hai shadeed
Aisa kuchh kar mujhe cigarette ko jalana na pade
Is ta’alluq se nikalne ka koi raasta de
Is pahaadi pe bhi baarood lagana na pade
Nam ki tarseel se aankhon ki haraarat kam ho
Sard-khaanon mein koi khwaab puraana na pade
Rabt ki khair hai bas teri ana bach jaaye
Is tarah jaa ki tujhe laut ke aana na pade
Hijr aisa ho ki chehre pe nazar aa jaaye
Zakhm aisa ho ki dikh jaaye, dikhana na pade
2- Bichhad gaye to yeh dil ‘umr bhar lagega nahi
Lagega lagne laga hai magar lagega nahi
Nahi lagega use dekh kar, magar khush hai
Main khush nahi hoon magar dekh kar, lagega nahi
Hamare dil ko abhi mustaqil pata na bana
Humein pata hai tera dil udhar lagega nahi
Junoon ka hazm zyada, tumhara zarf hai kam
Zara sa gamla hai, is mein shajar lagega nahi
Ek aisa zakhm-numa dil qareeb se guzra
Dil usko dekh ke cheekha, thahar lagega nahi
Junoon se kund kiya hai, so uske husn ka keel
Mere siwa kisi deewar par lagega nahi
Bahut tawajjo ta’alluq bigaad deti hai
Zyada darne lagenge to dar lagega nahi
3- Main barash chhod chuka, aakhiri tasveer ke baad
Mujh se kuchh ban nahi paaya, teri tasveer ke baad
Mushtarak dost bhi chhoote hain tujhe chhodne par
Ya’ni deewaar hatani padi tasveer ke baad
Yaar tasveer mein tanha hoon, magar log mile
Kayi tasveer se pehle, kayi tasveer ke baad
Doosra ishq mayassar hai, magar karta nahi
Kaun dekhega purani nai tasveer ke baad
Bhejh deta hoon, magar pehle bata doon tujhe
Mujh se milta nahi koi meri tasveer ke baad
Khushk deewaar mein seelan ka sabab kya hoga
Ek adad zang lagi keel thi tasveer ke baad
4- Har ek hazaar mein bas paanch saat hain hum log
Nisaab-e-ishq pe wajib zakaat hain hum log
Dabav mein bhi jama’at kabhi nahi badli
Shuru’a din se mohabbat ke saath hain hum log
Jo seekhni ho zabaan-e-sukoot, bismillah
Khamoshiyon ki mukammal lugaat hain hum log
Kahaniyon ke woh kirdaar jo likhe na gaye
Khabar se hazf-shuda waaqia’at hain hum log
Yeh intezaar humein dekh kar banaya gaya
Zuhoor-e-hijr se pehle ki baat hain hum log
Kisi ko rasta de dein, kisi ko paani na dein
Kahin pe Neel, kahin par Furaat hain hum log
Humein jala ke koi shab guzaar sakta hai
Sadak pe bikhre hue kaagzaat hain hum log
5- Tum is kharabe mein chaar chhe din tahal gayi ho
So ain-mumkin hai dil ki haalat badal gayi ho
Tamaam din is dua mein kat’ta hai kuchh dino se
Main jaaun kamre mein to udaasi nikal gayi ho
Kisi ke aane pe aise halchal hui hai mujh mein
Khamosh jungle mein jaise bandook chal gayi ho
Yeh na ho gar main hiloon to girne lage burada
Dukhon ki deemak badan ki lakdi nigal gayi ho
Yeh chhote chhote kayi hawadis jo ho rahe hain
Kisi ke sar se badi museebat na tal gayi ho
Hamara malba hamare qadamoon mein aa gira hai
Plate mein jaise mom-batti pighal gayi ho
-----------------------------------------------
1- खेल दोनों का चले तीन का दाना न पड़े
सीढ़ियाँ आती रहें साँप का ख़ाना न पड़े
देख मे'मार परिंदे भी रहें घर भी बने
नक़्शा ऐसा हो कोई पेड़ गिराना न पड़े
मेरे होंटों पे किसी लम्स की ख़्वाहिश है शदीद
ऐसा कुछ कर मुझे सिगरेट को जलाना न पड़े
इस तअल्लुक़ से निकलने का कोई रास्ता दे
इस पहाड़ी पे भी बारूद लगाना न पड़े
नम की तर्सील से आँखों की हरारत कम हो
सर्द-ख़ानों में कोई ख़्वाब पुराना न पड़े
रब्त की ख़ैर है बस तेरी अना बच जाए
इस तरह जा कि तुझे लौट के आना न पड़े
हिज्र ऐसा हो कि चेहरे पे नज़र आ जाए
ज़ख़्म ऐसा हो कि दिख जाए दिखाना न पड़े
2- बिछड़ गए तो ये दिल 'उम्र भर लगेगा नहीं
लगेगा लगने लगा है मगर लगेगा नहीं
नहीं लगेगा उसे देख कर मगर ख़ुश है
मैं ख़ुश नहीं हूँ मगर देख कर लगेगा नहीं
हमारे दिल को अभी मुस्तक़िल पता न बना
हमें पता है तिरा दिल उधर लगेगा नहीं
जुनूँ का हज्म ज़ियादा तुम्हारा ज़र्फ़ है कम
ज़रा सा गमला है इस में शजर लगेगा नहीं
इक ऐसा ज़ख़्म-नुमा दिल क़रीब से गुज़रा
दिल उस को देख के चीख़ा ठहर लगेगा नहीं
जुनूँ से कुंद किया है सो उस के हुस्न का कील
मिरे सिवा किसी दीवार पर लगेगा नहीं
बहुत तवज्जोह त'अल्लुक़ बिगाड़ देती है
ज़ियादा डरने लगेंगे तो डर लगेगा नहीं
3- मैं बरश छोड़ चुका आख़िरी तस्वीर के बा'द
मुझ से कुछ बन नहीं पाया तिरी तस्वीर के बा'द
मुश्तरक दोस्त भी छूटे हैं तुझे छोड़ने पर
या'नी दीवार हटानी पड़ी तस्वीर के बा'द
यार तस्वीर में तन्हा हूँ मगर लोग मिले
कई तस्वीर से पहले कई तस्वीर के बा'द
दूसरा इश्क़ मयस्सर है मगर करता नहीं
कौन देखेगा पुरानी नई तस्वीर के बा'द
भेज देता हूँ मगर पहले बता दूँ तुझ को
मुझ से मिलता नहीं कोई मिरी तस्वीर के बा'द
ख़ुश्क दीवार में सीलन का सबब क्या होगा
एक अदद ज़ंग लगी कील थी तस्वीर के बा'द
4- हर इक हज़ार में बस पाँच सात हैं हम लोग
निसाब-ए-इश्क़ पे वाजिब ज़कात हैं हम लोग
दबाओ में भी जमाअत कभी नहीं बदली
शुरूअ' दिन से मोहब्बत के साथ हैं हम लोग
जो सीखनी हो ज़बान-ए-सुकूत बिस्मिल्लाह
ख़मोशियों की मुकम्मल लुग़ात हैं हम लोग
कहानियों के वो किरदार जो लिखे न गए
ख़बर से हज़्फ़-शुदा वाक़िआ'त हैं हम लोग
ये इंतिज़ार हमें देख कर बनाया गया
ज़ुहूर-ए-हिज्र से पहले की बात हैं हम लोग
किसी को रास्ता दे दें किसी को पानी न दें
कहीं पे नील कहीं पर फ़ुरात हैं हम लोग
हमें जला के कोई शब गुज़ार सकता है
सड़क पे बिखरे हुए काग़ज़ात हैं हम लोग
5- तुम इस ख़राबे में चार छे दिन टहल गई हो
सो ऐन-मुमकिन है दिल की हालत बदल गई हो
तमाम दिन इस दुआ में कटता है कुछ दिनों से
मैं जाऊँ कमरे में तो उदासी निकल गई हो
किसी के आने पे ऐसे हलचल हुई है मुझ में
ख़मोश जंगल में जैसे बंदूक़ चल गई हो
ये न हो गर मैं हिलूँ तो गिरने लगे बुरादा
दुखों की दीमक बदन की लकड़ी निगल गई हो
ये छोटे छोटे कई हवादिस जो हो रहे हैं
किसी के सर से बड़ी मुसीबत न टल गई हो
हमारा मलबा हमारे क़दमों में आ गिरा है
प्लेट में जैसे मोम-बत्ती पिघल गई हो