Dhaka se wapsi par.. byFaiz Ahmed Faiz November 15, 2024 ham ki Thahre ajnabi itni mudaraton ke baad phir banenge ashna kitni mulaqaton ke baad kab nazar men aaegi be-dagh sabze ki bahar ḳhuun ke dhabbe dhulenge kitni barsaton ke baad the bahut bedard lamhe khatm-e-dard-e-ishq ke thiin bahut be-mehr subhen mehrban raton ke baad dil to chaha par shikast-e-dil ne mohlat hi na dikuchh gile shikve bhi kar lete munājaton ke baad un se jo kahne gae the 'faiz' jaan sadqe kiye an-kahi hi rah gai vo baat sab bāton ke baad -------------------------------------------------हम कि ठहरे अजनबी इतनी मुदरतों के बादफिर बनेंगे आशना कितनी मुलाकातों के बादकब नज़र में आएगी बे-दाग़ सब्ज़े की बहारख़ून के धब्बे धुलेंगे कितनी बरसातों के बादथे बहुत बेदर्द लम्हे ख़त्म-ए-दर्द-ए-इश्क़ केथीं बहुत बे-महर सुबहें मेहरबां रातों के बाददिल तो चाहा पर शिकस्त-ए-दिल ने मोहलत ही न दीकुछ गिले शिकवे भी कर लेते मुनाजातों के बादउन से जो कहने गए थे 'फ़ैज़' जान सदके किएअनकही ही रह गई वो बात सब बातों के बाद Read more FaizAhmedFaiz UrduPoetry Ishq PainOfLove