tehzeeb hafi

maheenon baad daftar aa rahe hain..

maheenon baad daftar aa rahe hain
ham ek sadme se baahar aa rahe hain

teri baahon se dil ukta gaya hain
ab is jhoole mein chakkar aa rahe hain

kahaan soya hai chaukidaar mera
ye kaise log andar aa rahe hain

samandar kar chuka tasleem hamko
khajaane khud hi oopar aa rahe hain

yahi ek din bacha tha dekhne ko
use bas mein bitha kar aa rahe hain
------------------------------------
महीनों बाद दफ्तर आ रहे हैं
हम एक सदमे से बाहर आ रहे हैं

तेरी बाहों से दिल उकता गया हैं
अब इस झूले में चक्कर आ रहे हैं

कहां सोया है चौकीदार मेरा
ये कैसे लोग अंदर आ रहे हैं

समंदर कर चुका तस्लीम हमको
खजाने ख़ुद ही ऊपर आ रहे हैं

यही एक दिन बचा था देखने को
उसे बस में बिठा कर आ रहे हैं
Read more

ghalat nikle sab andaaze hamaare..

ghalat nikle sab andaaze hamaare
ki din aaye nahi achhe hamaare

safar se baaz rahne ko kaha hain
kisi ne khol ke tasmee hamaare

har ik mausam bahut andar tak aaya
khule rahte the darwaaze hamaare

us abr-e-mehrban se kya shikaayat
agar bartan nahin bharte hamaare 
-----------------------------------
ग़लत निकले सब अंदाज़े हमारे
कि दिन आये नही अच्छे हमारे

सफ़र से बाज़ रहने को कहा हैं
किसी ने खोल के तस्मे हमारे

हर इक मौसम बहुत अंदर तक आया
खुले रहते थे दरवाज़े हमारे

उस अब्र-ए-मेहरबाँ से क्या शिकायत
अगर बर्तन नहीं भरते हमारे
Read more

haan ye sach hai ki mohabbat nahin ki..

haan ye sach hai ki mohabbat nahin ki
dost bas meri tabiyat nahin ki

isliye gaanv main sailaab aaya
hamne daryaao ki izzat nahin ki

jism tak usne mujhe saunp diya
dil ne is par bhi kanaayat nahin ki

mere ejaz mein rakhi gai thi
maine jis bazm mein shirkat nahin ki

yaad bhi yaad se rakha usko
bhool jaane mein bhi gafalat nahin ki

usko dekha tha ajab haalat mein
phir kabhi uski hifaazat nahin ki

ham agar fatah hue hai to kya
ishq ne kis pe hukoomat nahin ki 
-------------------------------------
हां ये सच है कि मोहब्बत नहीं की
दोस्त बस मेरी तबीयत नहीं की

इसलिए गांव मैं सैलाब आया
हमने दरियाओ की इज्जत नहीं की

जिस्म तक उसने मुझे सौंप दिया
दिल ने इस पर भी कनायत नहीं की

मेरे एजाज़ में रखी गई थी
मैने जिस बज़्म में शिरकत नहीं की

याद भी याद से रखा उसको
भूल जाने में भी गफलत नहीं की

उसको देखा था अजब हालत में
फिर कभी उसकी हिफाज़त नहीं की

हम अगर फतह हुए है तो क्या
इश्क ने किस पे हकूमत नहीं की
Read more

kab paani girne se khushboo footi hai..

kab paani girne se khushboo footi hai
mitti ko bhi ilm hai baarish jhoothi hai

ek rishte ko laaparwaahi le doobi
ek rassi dheeli padne par tooti hai

haath milaane par bhi us pe khula nahin
ye ungli par zakham hai ya angoothi hai

uska hansna naa-mumkin tha yun samjho
seement ki deewaar se kopale footi hai

hamne in par sher nahin likkhe haafi
hamne in pedon ki izzat looti hai

yun lagta hai deen-o-duniya chhoot gaye
mujh se tere shehar ki bas kya chhooti hai 
-----------------------------------------------
कब पानी गिरने से ख़ुशबू फूटी है
मिट्टी को भी इल्म है बारिश झूठी है

एक रिश्ते को लापरवाही ले डूबी
एक रस्सी ढीली पड़ने पर टूटी है

हाथ मिलाने पर भी उस पे खुला नहीं
ये उँगली पर ज़ख़्म है या अँगूठी है

उसका हँसना ना-मुमकिन था यूँ समझो
सीमेंट की दीवार से कोपल फूटी है

हमने इन पर शेर नहीं लिक्खे हाफ़ी
हमने इन पेड़ों की इज़्ज़त लूटी है

यूँ लगता है दीन-ओ-दुनिया छूट गए
मुझ से तेरे शहर की बस क्या छूटी है
Read more

ye shayari ye mere seene mein dabii hui aag..

ye shayari ye mere seene mein dabii hui aag
bhadak uthegi kabhi meri jama ki hui aag

main choo raha hoon tera jism khwaab ke andar
bujha raha hoon main tasveer mein lagi hui aag

khijaan mein door rakho maachiso ko jungle se
dikhaai deti nahin ped mein chhupi hui aag

main kaatta hoon abhi tak wahi kate hue lafz
main taapta hoon abhi tak wahi bujhi hui aag

yahi diya tujhe pehli nazar mein bhaaya tha
khareed laaya main teri pasand ki hui aag

ek umr se jal bujh raha hoon inke sabab
tera bacha hua paani teri bachi hui aag
---------------------------------------------
ये शायरी ये मेरे सीने में दबी हुई आग
भड़क उठेगी कभी मेरी जमा की हुई आग

मैं छू रहा हूं तेरा जिस्म ख्वाब के अंदर
बुझा रहा हूं मैं तस्वीर में लगी हुई आग

खिजां में दूर रखो माचिसो को जंगल से
दिखाई देती नहीं पेड़ में छुपी हुई आग

मैं काटता हूं अभी तक वही कटे हुए लफ्ज़
मैं तापता हूं अभी तक वही बुझी हुई आग

यही दिया तुझे पहली नजर में भाया था
खरीद लाया मैं तेरी पसंद की हुई आग

एक उम्र से जल बूझ रहा हूं इनके सबब
तेरा बचा हुआ पानी तेरी बची हुई आग
Read more

meri aankh se tera gam chhalk to nahin gaya..

meri aankh se tera gam chhalk to nahin gaya
tujhe dhoondh kar kahi main bhatk to nahin gaya

yah jo itne pyaar se dekhta hai tu aajkal
mere dost tu kahi mujhse thak to nahin gaya

teri baddua ka asar hua bhi to faayda
mere maand padne se tu chamak to nahin gaya

bada purfareb hai shahdo shir ka zaayka
magar in labon se tera namak to nahin gaya

tere jism se meri guftagoo rahi raat bhar
kahi main nashe mein zyaada bak to nahin gaya 
--------------------------------------------
मेरी आंख से तेरा गम छलक तो नहीं गया
तुझे ढूंढ कर कहीं मैं भटक तो नहीं गया

यह जो इतने प्यार से देखता है तू आजकल
मेरे दोस्त तू कहीं मुझसे थक तो नहीं गया

तेरी बद्दुआ का असर हुआ भी तो फायदा
मेरे मांद पड़ने से तू चमक तो नहीं गया

बड़ा पुरफरेब है शहदो शिर का ज़ायका
मगर इन लबों से तेरा नमक तो नहीं गया

तेरे जिस्म से मेरी गुफ्तगू रही रात भर
कहीं मैं नशे में ज्यादा बक तो नहीं गया
Read more

yah soch kar mera sehra mein jee nahin lagta..

yah soch kar mera sehra mein jee nahin lagta
main shaamile safe aawaargi nahin lagta

kabhi-kabhi vo khuda ban ke saath chalta hai
kabhi-kabhi to vo insaan bhi nahin lagta

yakeen kyun nahin aata tujhe mere dil par
ye fal kahaan se tujhe mausami nahin lagta

main chahta hoon vo meri jabeen pe bausa de
magar jali hui roti ko ghee nahin lagta

tere khyaal se aage bhi ek duniya hai
tera khyaal mujhe sarsari nahin lagta

main uske paas kisi kaam se nahin aata
use ye kaam koi kaam hi nahin lagta 
---------------------------------------
यह सोच कर मेरा सहरा में जी नहीं लगता
मैं शामिले सफे आवारगी नहीं लगता

कभी-कभी वो ख़ुदा बन के साथ चलता है
कभी-कभी तो वो इंसान भी नहीं लगता

यकीन क्यों नहीं आता तुझे मेरे दिल पर
ये फल कहां से तुझे मौसमी नहीं लगता

मैं चाहता हूं वो मेरी जबीं पे बौसा दे
मगर जली हुई रोटी को घी नहीं लगता

तेरे ख्याल से आगे भी एक दुनिया है
तेरा ख्याल मुझे सरसरी नहीं लगता

मैं उसके पास किसी काम से नहीं आता
उसे ये काम कोई काम ही नहीं लगता
Read more

paayal kabhi pahne kabhi kangan use kehna..

paayal kabhi pahne kabhi kangan use kehna
le aaye muhabbat mein nayaapan use kehna

maykash kabhi aankhon ke bharose nahin rahte
shabnam kabhi bharti nahin bartan use kehna

ghar-baar bhula deti hai dariya ki muhabbat
kashti mein guzaar aaya hoon jeevan use kehna

ik shab se ziyaada nahin duniya ki maseri
ik shab se ziyaada nahin dulhan use kehna

rah rah ke dahak uthati hai ye aatish-e-vahshat
deewane hai seharaaon ka eendhan use kehna
----------------------------------------------
पायल कभी पहने कभी कंगन उसे कहना
ले आए मुहब्बत में नयापन उसे कहना

मयकश कभी आँखों के भरोसे नहीं रहते
शबनम कभी भरती नहीं बर्तन उसे कहना

घर-बार भुला देती है दरिया की मुहब्बत
कश्ती में गुज़ार आया हूँ जीवन उसे कहना

इक शब से ज़ियादा नहीं दुनिया की मसेरी
इक शब से ज़ियादा नहीं दुल्हन उसे कहना

रह रह के दहक उठती है ये आतिश-ए-वहशत
दीवाने है सहराओं का ईंधन उसे कहना
Read more

mujh se milta hai par jism ki sarhad paar nahin karta..

mujh se milta hai par jism ki sarhad paar nahin karta
iska matlab tu bhi mujhse saccha pyaar nahin karta

dushman achha ho to jang mein dil ko thaaras rahti hai
dushman achha ho to vo peeche se vaar nahin karta

roz tujhe toote dil kam qeemat par lena padte hain
isse achha tha tu ishq ka kaarobaar nahin karta 
-----------------------------------------------
मुझ से मिलता है पर जिस्म की सरहद पार नहीं करता
इसका मतलब तू भी मुझसे सच्चा प्यार नहीं करता

दुश्मन अच्छा हो तो जंग में दिल को ठारस रहती है
दुश्मन अच्छा हो तो वो पीछे से वार नहीं करता

रोज तुझे टूटे दिल कम क़ीमत पर लेना पड़ते हैं
इससे अच्छा था तू इश्क़ का कारोबार नहीं करता
 
Read more

shaitaan ke dil par chalta hoon seenon mein safar karta hoon..

shaitaan ke dil par chalta hoon seenon mein safar karta hoon
us aankh ka kya bachta hai mai jis aankh mein ghar karta hoon

jo mujh mein utre hain unko meri lehron ka andaaza hai
daryaao mein uthata baithta hoon sailaab basar karta hoon

meri tanhaai ka bojh tumhaari binaai le doobega
mujhe itna qareeb se mat dekho aankhon par asar karta hoon 
---------------------------------------------------
शैतान के दिल पर चलता हूं सीनों में सफर करता हूं
उस आंख का क्या बचता है मै जिस आंख में घर करता हूं

जो मुझ में उतरे हैं उनको मेरी लहरों का अंदाजा है
दरियाओ में उठता बैठता हूं सैलाब बसर करता हूं

मेरी तन्हाई का बोझ तुम्हारी बिनाई ले डूबेगा
मुझे इतना करीब से मत देखो आंखों पर असर करता हूं
Read more