Aise chup hain ki ye manzil bhi kaddi ho jaise..

aise chup hain ki ye manzil bhi kaddi ho jaise
tera milna bhi judaai ki ghadi ho jaise

apne hi saaye se har gaam larz jaata hoon
raaste mein koi deewaar khadi ho jaise

kitne naadaan hain tire bhoolne waale ki tujhe
yaad karne ke liye umr padi ho jaise

tere maathe ki shikan pehle bhi dekhi thi magar
ye girah ab ke mere dil mein padi ho jaise

manzilen door bhi hain manzilen nazdeek bhi hain
apne hi paanv mein zanjeer padi ho jaise

aaj dil khol ke roye hain to yun khush hain faraaz
chand lamhon ki ye raahat bhi badi ho jaise
----------------------------------------
ऐसे चुप हैं कि ये मंज़िल भी कड़ी हो जैसे
तेरा मिलना भी जुदाई की घड़ी हो जैसे

अपने ही साए से हर गाम लरज़ जाता हूँ
रास्ते में कोई दीवार खड़ी हो जैसे

कितने नादाँ हैं तिरे भूलने वाले कि तुझे
याद करने के लिए उम्र पड़ी हो जैसे

तेरे माथे की शिकन पहले भी देखी थी मगर
ये गिरह अब के मिरे दिल में पड़ी हो जैसे

मंज़िलें दूर भी हैं मंज़िलें नज़दीक भी हैं
अपने ही पाँव में ज़ंजीर पड़ी हो जैसे

आज दिल खोल के रोए हैं तो यूँ ख़ुश हैं 'फ़राज़'
चंद लम्हों की ये राहत भी बड़ी हो जैसे
Read more

Ik din zaban sukut ki puurī banaunga..

Ik din zaban sukut ki puurī banaunga
main guftugu ko ghair-zaruri banaunga

tasvir men banaunga donon ke haath aur
donon men ek haath ki duuri banaunga

muddat samet jumla zavabit hon tai-shuda
yaani taalluqat uburi banaunga

tujh ko khabar na hogi ki main as-pas huun
is baar haziri ko huzuri banaunga

rangon pe iḳhtiyar agar mil saka kabhi
teri siyah putliyan bhuri banaunga

jaari hai apni zaat pe tahqiq aj-kal
main bhi ḳhala pe ek theory banaunga

main chaah kar vo shakl mukammal na kar saka
us ko bhi lag raha tha adhuri banaunga
--------------------------------------
एक दिन ज़बान सुकूत की पूरी बनाऊँगा
मैं गुफ़्तुगू को गैर-ज़रूरी बनाऊँगा

तस्वीर में बनाऊँगा दोनों के हाथ और
दोनों में एक हाथ की दूरी बनाऊँगा

मु़द्दत समेट जुमला ज़वाबित हों तय-शुदा
यानी ताल्लुकात उबूरी बनाऊँगा

तुझ को खबर न होगी कि मैं आस-पास हूँ
इस बार हाज़िरी को हज़ूरी बनाऊँगा

रंगों पे इख़्तियार अगर मिल सका कभी
तेरी स्याह पुतलियाँ भूरी बनाऊँगा

जारी है अपनी जात पे तहरीक आज-कल
मैं भी ख़ला पे एक थ्योरी बनाऊँगा

मैं चाह कर वो शक्ल मुकम्मल न कर सका
उस को भी लग रहा था अधूरी बनाऊँगा
Read more