Amir

ishq main ne likh daala qaumiyat ke khaane mein..

ishq main ne likh daala qaumiyat ke khaane mein
aur tera dil likha shehriyat ke khaane mein

mujh ko tajarbo ne hi baap ban ke paala hai
sochta hoon kya likhoon valdiyat ke khaane mein

mera saath deti hai mere saath rahti hai
main ne likha tanhaai zaujiyat ke khaane mein

doston se ja kar jab mashwara kiya to phir
main ne kuchh nahin likha haisiyat ke khaane mein

imtihaan mohabbat ka paas kar liya main ne
ab yahi main likhoonga ahliyat ke khaane mein

jab se aap mere hain fakhr se main likhta hoon
naam aap ka apni milkayat ke khaane mein 
---------------------------------------
इश्क़ मैं ने लिख डाला क़ौमीयत के ख़ाने में
और तेरा दिल लिखा शहरियत के ख़ाने में

मुझ को तजरबों ने ही बाप बन के पाला है
सोचता हूँ क्या लिखूँ वलदियत के ख़ाने में

मेरा साथ देती है मेरे साथ रहती है
मैं ने लिखा तन्हाई ज़ाैजियत के ख़ाने में

दोस्तों से जा कर जब मशवरा किया तो फिर
मैं ने कुछ नहीं लिखा हैसियत के ख़ाने में

इम्तिहाँ मोहब्बत का पास कर लिया मैं ने
अब यही मैं लिखूँगा अहलियत के ख़ाने में

जब से आप मेरे हैं फ़ख़्र से मैं लिखता हूँ
नाम आप का अपनी मिलकियत के ख़ाने में

Read more

tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena..

tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena
zakhm-e-dil ko kabhi achha nahin hone dena

main to dushman ko bhi mushkil mein kumak bhejoonga
itni jaldi use paspa nahin hone dena

tu ne mera nahin hona hai to phir yaad rahe
main ne tujh ko bhi kisi ka nahin hone dena

tu ne kitnon ko nachaaya hai ishaaron pe magar
main ne ai ishq ye mujra nahin hone dena

us ne khaai hai qasam phir se mujhe bhoolne ki
main ne is baar bhi aisa nahin hone dena

zindagi mein to tujhe chhod hi deta lekin
phir ye socha tujhe bewa nahin hone dena

mazhab-e-ishq koi chhod mare to main ne
aise murtad ka janaaza nahin hone dena
----------------------------------------
तुझ को अपना के भी अपना नहीं होने देना
ज़ख़्म-ए-दिल को कभी अच्छा नहीं होने देना

मैं तो दुश्मन को भी मुश्किल में कुमक भेजूँगा
इतनी जल्दी उसे पसपा नहीं होने देना

तू ने मेरा नहीं होना है तो फिर याद रहे
मैं ने तुझ को भी किसी का नहीं होने देना

तू ने कितनों को नचाया है इशारों पे मगर
मैं ने ऐ इश्क़! ये मुजरा नहीं होने देना

उस ने खाई है क़सम फिर से मुझे भूलने की
मैं ने इस बार भी ऐसा नहीं होने देना

ज़िंदगी में तो तुझे छोड़ ही देता लेकिन
फिर ये सोचा तुझे बेवा नहीं होने देना

मज़हब-ए-इश्क़ कोई छोड़ मरे तो मैं ने
ऐसे मुर्तद का जनाज़ा नहीं होने देना

Read more

meri deewaangi khud saakhta nai..

meri deewaangi khud saakhta nai
main jaisa hoon main waisa chahta nai

sukoon chehre ka tere kah raha hai
ki ai dushman tu mujh ko jaanta nai

ye dil gustaakh hota ja raha hai
ki sunta hai meri par maanta nai

mujhe dar hai mohabbat mein agar vo
kahi kah de khuda-na-khaasta nai

agarche dil kahi par haar aaya
magar phir bhi main dil-bardashta nai

ameer is ishq ka mujh se na poocho
pata tum sab ko hai kis ko pata nai 
-------------------------------
मिरी दीवानगी ख़ुद साख़्ता नईं
मैं जैसा हूँ मैं वैसा चाहता नईं

सुकूँ चेहरे का तेरे कह रहा है
कि ऐ दुश्मन तू मुझ को जानता नईं

ये दिल गुस्ताख़ होता जा रहा है
कि सुनता है मिरी पर मानता नईं

मुझे डर है मोहब्बत में अगर वो
कहीं कह दे ख़ुदा-न-ख़ास्ता नईं

अगरचे दिल कहीं पर हार आया
मगर फिर भी मैं दिल-बर्दाश्ता नईं

'अमीर' इस इश्क़ का मुझ से न पूछो
पता तुम सब को है किस को पता नईं
Read more

tiri hi shakl ke but hain kai taraashe hue..

tiri hi shakl ke but hain kai taraashe hue
na pooch kaa'ba-e-dil mein bhi kya tamaashe hue

hamaari laash ko maidan-e-ishq mein pehchaan
bujhi hui si hain aankhen to dil kharaashe hue

b-waqt-e-wasl koi baat bhi na ki ham ne
zabaan thi sookhi hui hont irtia'ashe hue

vo kaise baat ko tolenge aur boleinge
jo pal mein tole hue aur pal mein maashe hue

mazaak chhod bata ye ki mujh se kya parda
tire nuqoosh hain saare mere talashe hue

main tere shehar se nikla tha ain us lamha
tire nikaah pe taqseem jab bataashe hue 
--------------------------------------
तिरी ही शक्ल के बुत हैं कई तराशे हुए
न पूछ का'बा-ए-दिल में भी क्या तमाशे हुए

हमारी लाश को मैदान-ए-इश्क़ में पहचान
बुझी हुई सी हैं आँखें तो दिल ख़राशे हुए

ब-वक़्त-ए-वस्ल कोई बात भी न की हम ने
ज़बाँ थी सूखी हुई होंट इर्तिआ'शे हुए

वो कैसे बात को तोलेंगे और बोलेंगे
जो पल में तोले हुए और पल में माशे हुए

मज़ाक़ छोड़ बता ये कि मुझ से क्या पर्दा
तिरे नुक़ूश हैं सारे मिरे तलाशे हुए

मैं तेरे शहर से निकला था ऐन उस लम्हा
तिरे निकाह पे तक़्सीम जब बताशे हुए
Read more

tasveer teri yun hi rahe kaash jeb mein..

tasveer teri yun hi rahe kaash jeb mein
goya ki husn-e-vaadi-e-kailaash jeb mein

raaste mein mujh ko mil gaya yun hi gira-pada
main ne utha ke rakh liya aakaash jeb mein

pandrah minute se dhundh raha hai na jaane kya
dale hue hai haath ko qallaash jeb mein

aa ja ki yaar paan ke khokhe pe jam'a hain
cigarette chhupa ke haath mein aur taash jeb

sab tent aur kursiyon waale kama gaye
sha'ir ne thoons kar bhari shaabaash jeb mein

ab us gareeb chor ko bhejoge jail kyun
gurbat ki jis ne kaat li paadaash jeb mein

rakhta nahin hoon paas mein apni kabhi shanaakht
firta hai kaun le ke kabhi laash jeb mein 
--------------------------------------
तस्वीर तेरी यूँ ही रहे काश जेब में
गोया कि हुस्न-ए-वादी-ए-कैलाश जेब में

रस्ते में मुझ को मिल गया यूँ ही गिरा-पड़ा
मैं ने उठा के रख लिया आकाश जेब में

पंद्रह मिनट से ढूँड रहा है न जाने क्या
डाले हुए है हाथ को क़ल्लाश जेब में

आ जा कि यार पान के खोखे पे जम्अ' हैं
सिगरेट छुपा के हाथ में और ताश जेब

सब टेंट और कुर्सियों वाले कमा गए
शाइ'र ने ठूँस कर भरी शाबाश जेब में

अब उस ग़रीब चोर को भेजोगे जेल क्यूँ
ग़ुर्बत की जिस ने काट ली पादाश जेब में

रखता नहीं हूँ पास में अपनी कभी शनाख़्त
फिरता है कौन ले के कभी लाश जेब में
Read more

pyaar ki har ik rasm ki jo matrook thi main ne jaari ki..

pyaar ki har ik rasm ki jo matrook thi main ne jaari ki
ishq-labaada tan par pahna aur mohabbat taari ki

main ab shehr-e-ishq mein kuchh qaanoon banaane waala hoon
ab us us ki khair nahin hai jis jis ne gaddaari ki

pehle thodi bahut mohabbat ki ki kaisi hoti hai
par jab asli chehra dekha main ne to phir saari ki

jo bhi mud kar dekhega vo patthar ka ho jaayega
dekho dekho shehar mein aaye sannaata aur taarikee

ek janam mein main us ka tha ek janam mein vo mera
ham ne ki har baar mohabbat lekin baari baari ki

ham sa ho to saamne aaye aadil aur insaaf-pasand
dushman ko bhi khoon rulaaya yaaron se bhi yaari ki

aisa pyaar tha ham dono mein ki barson la-ilm rahe
us ne bhi kirdaar nibhaaya main ne bhi fankaari ki

baat to itni si hai waapas jaane ko main aaya tha
saans uthaai umr sameti chalne ki tayyaari ki 
------------------------------------------------
प्यार की हर इक रस्म कि जो मतरूक थी मैं ने जारी की
इश्क़-लबादा तन पर पहना और मोहब्बत तारी की

मैं अब शहर-ए-इश्क़ में कुछ क़ानून बनाने वाला हूँ
अब उस उस की ख़ैर नहीं है जिस जिस ने ग़द्दारी की

पहले थोड़ी बहुत मोहब्बत की कि कैसी होती है
पर जब असली चेहरा देखा मैं ने तो फिर सारी की

जो भी मुड़ कर देखेगा वो पत्थर का हो जाएगा
देखो देखो शहर में आए सन्नाटा और तारीकी

एक जन्म में मैं उस का था एक जन्म में वो मेरा
हम ने की हर बार मोहब्बत लेकिन बारी बारी की

हम सा हो तो सामने आए आदिल और इंसाफ़-पसंद
दुश्मन को भी ख़ून रुलाया यारों से भी यारी की

ऐसा प्यार था हम दोनों में कि बरसों ला-इल्म रहे
उस ने भी किरदार निभाया मैं ने भी फ़नकारी की

बात तो इतनी सी है वापस जाने को मैं आया था
साँस उठाई उम्र समेटी चलने की तय्यारी की
Read more

ye mera aks jo thehra tiri nigaah mein hai..

ye mera aks jo thehra tiri nigaah mein hai
nahin hai pyaar to phir kya tiri salaah mein hai

nahin hai waqt ki jurat ki choo sake us ko
ye tera husn ki jab tak meri panaah mein hai

nazar jo tujh pe ruke to zara nahin sunti
kahaan savaab mein hai ye kahaan gunaah mein hai

zabaan sanbhaal ke ab naam le raqeeb us ka
jo tera pyaar tha vo ab mere nikaah mein hai 
------------------------------------------
ये मेरा अक्स जो ठहरा तिरी निगाह में है
नहीं है प्यार तो फिर क्या तिरी सलाह में है

नहीं है वक़्त की जुरअत कि छू सके उस को
ये तेरा हुस्न कि जब तक मिरी पनाह में है

नज़र जो तुझ पे रुके तो ज़रा नहीं सुनती
कहाँ सवाब में है ये कहाँ गुनाह में है

ज़बाँ सँभाल के अब नाम ले रक़ीब उस का
जो तेरा प्यार था वो अब मिरे निकाह में है
Read more