Barson puraana dost mila jaise gair ho.. byUmair Najmi November 19, 2024 barson puraana dost mila jaise gair hodekha ruka jhijhak ke kaha tum umair homilte hain mushkilon se yahan ham-khayaal logtere tamaam chaahne waalon ki khair hokamre mein cigaretteon ka dhuaan aur teri mahakjaise shadeed dhundh mein baagon ki sair hoham mutmain bahut hain agar khush nahin bhi haintum khush ho kya hua jo hamaare baghair hopairo'n mein uske sar ko dharen iltijaa kareinik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho-------------------------------------बरसों पुराना दोस्त मिला जैसे ग़ैर होदेखा रुका झिझक के कहा तुम उमैर होमिलते हैं मुश्किलों से यहाँ हम-ख़याल लोगतेरे तमाम चाहने वालों की ख़ैर होकमरे में सिगरेटों का धुआँ और तेरी महकजैसे शदीद धुंध में बाग़ों की सैर होहम मुत्मइन बहुत हैं अगर ख़ुश नहीं भी हैंतुम ख़ुश हो क्या हुआ जो हमारे बग़ैर होपैरों में उसके सर को धरें इल्तिजा करेंइक इल्तिजा कि जिसका न सर हो न पैर हो Read more umair najmi young poet pakistani poet
tum is kharaabe mein chaar chhe din tahal gai ho.. byUmair Najmi November 19, 2024 tum is kharaabe mein chaar chhe din tahal gai hoso ain-mumkin hai dil ki haalat badal gai hotamaam din is dua mein katata hai kuchh dinon semain jaaun kamre mein to udaasi nikal gai hokisi ke aane pe aise halchal hui hai mujh meinkhamosh jungle mein jaise bandooq chal gai hoye na ho gar main hiloon to girne lage buradadukhon ki deemak badan ki lakdi nigal gai hoye chhote chhote kai hawadis jo ho rahe hainkisi ke sar se badi museebat na tal gai hohamaara malba hamaare qadmon mein aa gira haiplate mein jaise mom-batti pighal gai ho --------------------------------------तुम इस ख़राबे में चार छे दिन टहल गई होसो ऐन-मुमकिन है दिल की हालत बदल गई होतमाम दिन इस दुआ में कटता है कुछ दिनों सेमैं जाऊँ कमरे में तो उदासी निकल गई होकिसी के आने पे ऐसे हलचल हुई है मुझ मेंख़मोश जंगल में जैसे बंदूक़ चल गई होये न हो गर मैं हिलूँ तो गिरने लगे बुरादादुखों की दीमक बदन की लकड़ी निगल गई होये छोटे छोटे कई हवादिस जो हो रहे हैंकिसी के सर से बड़ी मुसीबत न टल गई होहमारा मलबा हमारे क़दमों में आ गिरा हैप्लेट में जैसे मोम-बत्ती पिघल गई हो Read more umair najmi young poet pakistani poet
mujhe pehle to lagta tha ki zaati mas'ala hai.. byUmair Najmi November 19, 2024 mujhe pehle to lagta tha ki zaati mas'ala haimain phir samjha mohabbat kaayenaati mas'ala haiparinde qaid hain tum chahchahaahat chahte hotumhein to achcha-khaasa nafsiyaati mas'ala haihamein thoda junoon darkaar hai thoda sukoon bhihamaari nasl mein ik jeeniyati mas'ala haibadi mushkil hai bante silsiloon mein ye tavakkufhamaare raabton ki be-sabaati mas'ala haivo kahte hain ki jo hoga vo aage ja ke hogato ye duniya bhi koi tajrabaati mas'ala haihamaara vasl bhi tha ittifaqi mas'ala thahamaara hijr bhi hai haadsaati mas'ala hai --------------------------------------मुझे पहले तो लगता था कि ज़ाती मसअला हैमैं फिर समझा मोहब्बत काएनाती मसअला हैपरिंदे क़ैद हैं तुम चहचहाहट चाहते होतुम्हें तो अच्छा-ख़ासा नफ़सियाती मसअला हैहमें थोड़ा जुनूँ दरकार है थोड़ा सुकूँ भीहमारी नस्ल में इक जीनियाती मसअला हैबड़ी मुश्किल है बनते सिलसिलों में ये तवक़्क़ुफ़हमारे राब्तों की बे-सबाती मसअला हैवो कहते हैं कि जो होगा वो आगे जा के होगातो ये दुनिया भी कोई तजरबाती मसअला हैहमारा वस्ल भी था इत्तिफ़ाक़ी मसअला थाहमारा हिज्र भी है हादसाती मसअला है Read more umair najmi young poet pakistani poet
ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga.. byUmair Najmi November 19, 2024 ik din zabaan sukoot ki poori banaoongamain guftugoo ko ghair-zaroori banaoongatasveer mein banaoonga dono ke haath aurdono mein ek haath ki doori banaoongamuddat samet jumla zawaabit hon tay-shudaya'ni ta'alluqaat uboori banaoongatujh ko khabar na hogi ki main aas-paas hoonis baar haaziri ko huzoori banaoongarangon pe ikhtiyaar agar mil saka kabhiteri siyaah putliyaan bhuri banaoongajaari hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kalmain bhi khala pe ek theory banaoongamain chaah kar vo shakl mukammal na kar sakaus ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga-----------------------------------इक दिन ज़बाँ सुकूत की पूरी बनाऊँगामैं गुफ़्तुगू को ग़ैर-ज़रूरी बनाऊँगातस्वीर में बनाऊँगा दोनों के हाथ औरदोनों में एक हाथ की दूरी बनाऊँगामुद्दत समेत जुमला ज़वाबित हों तय-शुदाया'नी तअ'ल्लुक़ात उबूरी बनाऊँगातुझ को ख़बर न होगी कि मैं आस-पास हूँइस बार हाज़िरी को हुज़ूरी बनाऊँगारंगों पे इख़्तियार अगर मिल सका कभीतेरी सियाह पुतलियाँ भूरी बनाऊँगाजारी है अपनी ज़ात पे तहक़ीक़ आज-कलमैं भी ख़ला पे एक थ्योरी बनाऊँगामैं चाह कर वो शक्ल मुकम्मल न कर सकाउस को भी लग रहा था अधूरी बनाऊँगा Read more umair najmi young poet pakistani poet
Meri bhanwon ke ain darmiyaan ban gaya.. byUmair Najmi November 19, 2024 meri bhanwon ke ain darmiyaan ban gayajabeen pe intizaar ka nishaan ban gayasuna hua tha hijr mustaqil tanaav haiwahi hua mera badan kamaan ban gayamuheeb chup mein aahaton ka waahima hawamain sar se paanv tak tamaam kaan ban gayahawa se raushni se raabta nahin rahajidhar theen khidkiyaan udhar makaan ban gayashuruat din se ghar main sun raha tha is liyesukoot meri maadri zabaan ban gayaaur ek din khinchi hui lakeer mit gaigumaan yaqeen bana yaqeen gumaan ban gayakai khafif gham mile malaal ban gayezara zara si katarno se thaan ban gayamere badon ne aadatan chuna tha ek dashtvo bas gaya raheem yaar-khan ban gaya---------------------------------मिरी भँवों के ऐन दरमियान बन गयाजबीं पे इंतिज़ार का निशान बन गयासुना हुआ था हिज्र मुस्तक़िल तनाव हैवही हुआ मिरा बदन कमान बन गयामुहीब चुप में आहटों का वाहिमा हवामैं सर से पाँव तक तमाम कान बन गयाहवा से रौशनी से राब्ता नहीं रहाजिधर थीं खिड़कियाँ उधर मकान बन गयाशुरूअ' दिन से घर मैं सुन रहा था इस लिएसुकूत मेरी मादरी ज़बान बन गयाऔर एक दिन खिंची हुई लकीर मिट गईगुमाँ यक़ीं बना यक़ीं गुमान बन गयाकई ख़फ़ीफ़ ग़म मिले मलाल बन गएज़रा ज़रा सी कतरनों से थान बन गयामिरे बड़ों ने आदतन चुना था एक दश्तवो बस गया 'रहीम' यार-ख़ान बन गया Read more umair najmi young poet pakistani poet
Kaha jo maine galat kar rahi ho chun ke mujhe.. byUmair Najmi November 19, 2024 kaha jo maine galat kar rahi ho chun ke mujheachaanak usne kaha chup ye baat sun ke mujhekoi junoon hawa mein uda de mera vujoodkoi asa ho jo rooi ki tarah dhunke mujhekisi ne kah ke jab ik haan basaaya dil ka jahaanqasam khuda ki samajh aaye maani kun ke mujheudhed de gar iraada nahin pahanne kaye kya ki ek taraf rakh diya hai bun ke mujheshajar se kaat liya hai to apni mez banaagar nahin to phir aane de kaam ghun ke mujhekal ek rail ki chik chik se rukn yaad aayemafailun failaatun mafailun ke mujhetumhaare lautne tak kuchh bura na ho gaya hona saath chhodna mujh jaise bad-shugun ke mujhefaqeer log samajh aayein ya na aayein umairkoi samajhta nahin hai siwaye un ke mujhe--------------------------------कहा जो मैंने ग़लत कर रही हो चुन के मुझेअचानक उसने कहा चुप ये बात सुन के मुझेकोई जुनून हवा में उड़ा दे मेरा वजूदकोई असा हो जो रूई की तरह धुनके मुझेकिसी ने कह के जब इक हाँ बसाया दिल का जहाँक़सम ख़ुदा की समझ आए मआनी कुन के मुझेउधेड़ दे गर इरादा नहीं पहनने काये क्या कि एक तरफ रख दिया है बुन के मुझेशजर से काट लिया है तो अपनी मेज़ बनाअगर नहीं तो फिर आने दे काम घुन के मुझेकल एक रेल की छिक छिक से रुक्न याद आएमफ़ाइलुन फ़इलातुन मफ़ाइलुन के मुझेतुम्हारे लौटने तक कुछ बुरा न हो गया होन साथ छोड़ना मुझ जैसे बद-शगुन के मुझेफ़क़ीर लोग समझ आएँ या न आएँ 'उमैर'कोई समझता नहीं है सिवाय उन के मुझे Read more umair najmi young poet sad poetry
Bas ik usi pe to poori tarah ayaan hoon main.. byUmair Najmi November 19, 2024 bas ik usi pe to poori tarah ayaan hoon mainvo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon mainjise dikhaai doon meri taraf ishaara karemujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon mainidhar-udhar se nami ka risaav rehta haisadak se neeche banaya gaya makaan hoon mainkisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gayaabhi kisi ne bataaya to tha falan hoon mainmain khud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saathtu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon mainmain kis se poochhun ye rasta durust hai ki galatjahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main-------------------------------------------बस इक उसी पे तो पूरी तरह अयाँ हूँ मैंवो कह रहा है मुझे राइगाँ, तो हाँ हूँ मैं।जिसे दिखाऊँ, मेरी तरफ़ इशारा करे,मुझे दिखाई नहीं दे रहा, कहाँ हूँ मैं।इधर-उधर से नमी का रिसाव रहता है,सड़क से नीचे बनाया गया मकान हूँ मैं।किसी ने पूछा कि तुम कौन हो, तो भूल गया,अभी किसी ने बताया तो था, फ़लाँ हूँ मैं।मैं ख़ुद को तुझसे मिटाऊँगा एहतियात के साथ,तू बस निशान लगा दे जहाँ-जहाँ हूँ मैं।मैं किससे पूछूँ ये रास्ता दुरुस्त है कि ग़लत,जहाँ से कोई गुज़रता नहीं, वहाँ हूँ मैं। Read more umair najmi young poet pakistani poet
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai.. byUmair Najmi November 19, 2024 vo munh lagata hai jab koi kaam hota haijo uska hota hai samjho ghulaam hota haikisi ka ho ke dobaara na aana meri tarafmohabbaton mein halaala haraam hota haiise bhi ginte hain ham log ahl-e-khaana meinhamaare yaa to shajar ka bhi naam hota haitujh aise shakhs ke hote hain khaas dost bahuttujh aisa shakhs bahut jald aam hota haikabhi lagi hai tumhein koi shaam aakhiri shaamhamaare saath ye har ek shaam hota hai -------------------------------------वो मुँह लगाता है जब कोई काम होता हैजो उसका होता है समझो ग़ुलाम होता हैकिसी का हो के दुबारा न आना मेरी तरफ़मोहब्बतों में हलाला हराम होता हैइसे भी गिनते हैं हम लोग अहल-ए-ख़ाना मेंहमारे याँ तो शजर का भी नाम होता हैतुझ ऐसे शख़्स के होते हैं ख़ास दोस्त बहुततुझ ऐसा शख़्स बहुत जल्द आम होता हैकभी लगी है तुम्हें कोई शाम आख़िरी शामहमारे साथ ये हर एक शाम होता है Read more umair najmi young poet pakistani poet
Yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi.. byUmair Najmi November 19, 2024 yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhiaur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhiab jo aa aa ke bataate ho vo shakhs aisa thajab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhiwaqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahnahijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi--------------------------------------याद तब करते हो करने को न हो जब कुछ भीऔर कहते हो तुम्हें इश्क़ है मतलब कुछ भीअब जो आ आ के बताते हो वो शख़्स ऐसा थाजब मेरे साथ था वो क्यूँ न कहा तब कुछ भीवक्फ़े-वक्फ़े से मुझे देखने आते रहनाहिज्र की शब है सो हो सकता है इस शब कुछ भी Read more umair najmi young poet yaad hindipoetry
ye saath aath padosi kahaan se aaye mere.. byUmair Najmi November 19, 2024 ye saath aath padosi kahaan se aaye meretumhaare dil mein to koi na tha sivaae merekisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahinmujhe to dost wahan se utha ke laaye mereye soch kar na kiye apne dard uske supurdvo laalchi hai asaase na bech khaaye mereidhar kidhar tu naya hai yahan ki paagal haikisi ne kya tujhe qisse nahin sunaaye merevo aazmaaye mere dost ko zaroor magaruse kaho ki tarike na aazmaaye mere--------------------------------ये सात आठ पड़ोसी कहाँ से आए मेरेतुम्हारे दिल में तो कोई न था सिवाए मेरेकिसी ने पास बिठाया बस आगे याद नहींमुझे तो दोस्त वहाँ से उठा के लाए मेरेये सोच कर न किए अपने दर्द उसके सुपुर्दवो लालची है असासे न बेच खाए मेरेइधर किधर तू नया है यहाँ कि पागल हैकिसी ने क्या तुझे क़िस्से नहीं सुनाए मेरेवो आज़माए मेरे दोस्त को ज़रूर मगरउसे कहो कि तरीके न आज़माए मेरे Read more umair najmi young poet pakistani poet