Ashk zaaya ho rahe the dekh kar rota na tha.. byTehzeeb Hafi November 19, 2024 ashk zaaya ho rahe the dekh kar rota na thajis jagah banta tha rona main udhar rota na thasirf teri chup ne mere gaal geelay kar diyemain to vo hoon jo kisi ki maut par rota na thamujhpe kitne saanihe guzre par un aankhon ko kyamera dukh ye hain ki mera hamsafar rota na thamaine uske vasl mein bhi hijr kaata hai kahivo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na thapyaar to pehle bhi usse tha magar itna nahintab main usko choo to leta tha magar rota na thagiryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiyemeri aankhen dekh lo main waqt par rota na tha----------------------------------------अश्क ज़ाया हो रहे थे देख कर रोता न थाजिस जगह बनता था रोना मैं उधर रोता न थासिर्फ़ तेरी चुप ने मेरे गाल गीले कर दिएमैं तो वो हूँ जो किसी की मौत पर रोता न थामुझपे कितने सानिहे गुज़रे पर उन आँखों को क्यामेरा दुख ये हैं कि मेरा हमसफ़र रोता न थामैंने उसके वस्ल में भी हिज्र काटा है कहींवो मेरे काँधे पे रख लेता था सर रोता न थाप्यार तो पहले भी उससे था मगर इतना नहींतब मैं उसको छू तो लेता था मगर रोता न थागिर्या-ओ-ज़ारी को भी इक ख़ास मौसम चाहिएमेरी आँखें देख लो मैं वक़्त पर रोता न था Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan love poetry