tere hothon se

Tere hontoon se behti hui yeh hansi - Tehzeeb Hafi..

Tere hontoon se behti hui yeh hansi
Do jahanoon pe nafiz na honey ka bais tere hath hain
Jin ko tu ne hamesha laboon pe rakha muskaratey huey
Tu nahi janti neend ki goliaan kyun banai gain

Log kyun raat ko uth k rotey hain sotey nahi
Tu ne ab tak koi shab jagtey bhi ghuzari tu woh bar b night thi
Tujh ko kaise bataoon k teri sada k taqub mein main kaisey
Daryioon sehraoon aor jungloon sey ghuzarta hua aik aisi jagha ja gira tha

Jahan pair ka sokhna aik aam si baat thi
Jahan in chiraghoon ko jalney ki ujrat nahi mil rhi thi
Jahan larkioon k badan sirf khusb bananey kaam atey thy
Mujh ko maloom that tera aisey jahan aisi dunya se koi taluq nahi

Tu nahi janti kitni anhkein tujhe dekhtey dekhtey bujh gain
Kitney kurtey tere hath se istri ho k jalney ki khuwais liye khonthi sey latkey rhe
Kitney lab tere mathey ko tarsey
Kitni sharaein is shouq se phat gain hain k tu un k seeney pe paoon dharey

Main tujhe dhontey dhontey thak gya hoon
Ab mujhe teri mojodghi chahiye
Apney satan mein sehmey huey surkh peroon ko ab mere haathoon pe takh
Main ne chakna hai in ka namak
Read more