1. Mera shahr..

"Mera shahr"
shehar mera udaas ganga sa
koi bhi aaye aur apne paap
kho ke jaata hai dhoke jaata hai
aag ka khel khelne waale
ye nahin jaante ki paani ka
aag se bair hai hamesha ka
aag kitni hi khaufnaak sahi
us ki lapton ki umr thodi hai
aur ganga ke saaf paani ko
aaj bahna hai kal bhi bahna hai
jaane kis kis ka dard sahna hai
shehar mera udaas ganga sa
--------------------------------
"मेरा शहर"
शहर मेरा उदास गंगा सा
कोई भी आए और अपने पाप
खो के जाता है धोके जाता है
आग का खेल खेलने वाले
ये नहीं जानते कि पानी का
आग से बैर है हमेशा का
आग कितनी ही ख़ौफ़नाक सही
उस की लपटों की उम्र थोड़ी है
और गंगा के साफ़ पानी को
आज बहना है कल भी बहना है
जाने किस किस का दर्द सहना है
शहर मेरा उदास गंगा सा
Read more

2. main tum se chhoot raha hoon mere pyaaro..

main tum se chhoot raha hoon mere pyaaro
magar mera rishta pukhta ho raha hai is zameen se
jis ki god mein samaane ke liye
main ne poori zindagi rehearsal ki hai
kabhi kuchh kho kar kabhi kuchh pa kar
kabhi hans kar kabhi ro kar
pehle din se mujhe apni manzil ka pata tha
isee liye main kabhi zor se nahin chala
aur jinhen zor se chalte dekha
taras khaaya un ki haalat par
is liye ki vo jaante hi na the
ki vo kya kar rahe hain 
--------------------------------
मैं तुम से छूट रहा हूँ मिरे प्यारो
मगर मिरा रिश्ता पुख़्ता हो रहा है इस ज़मीं से
जिस की गोद में समाने के लिए
मैं ने पूरी ज़िंदगी रीहरसल की है
कभी कुछ खो कर कभी कुछ पा कर
कभी हँस कर कभी रो कर
पहले दिन से मुझे अपनी मंज़िल का पता था
इसी लिए मैं कभी ज़ोर से नहीं चला
और जिन्हें ज़ोर से चलते देखा
तरस खाया उन की हालत पर
इस लिए कि वो जानते ही न थे
कि वो क्या कर रहे हैं

Read more

3. Bebasi..

"Bebasi"
waqt ke tez gaam dariya mein
tu kisi mauj ki tarah ubhri
aankhon aankhon mein ho gai ojhal
aur main ek bulbule ki tarah
isee dariya ke ik kinaare par
narkulon ke muheeb jhaave mein
aisa uljha ki ye bhi bhool gaya
bulbule ki bisaat hi kya thi
-----------------------------------
"बेबसी"
वक़्त के तेज़ गाम दरिया में
तू किसी मौज की तरह उभरी
आँखों आँखों में हो गई ओझल
और मैं एक बुलबुले की तरह
इसी दरिया के इक किनारे पर
नरकुलों के मुहीब झावे में
ऐसा उलझा कि ये भी भूल गया
बुलबुले की बिसात ही क्या थी
Read more

4. Khilauna..

"Khilauna"
der se ek na-samajh baccha
ik khilone ke toot jaane par
is tarah se udaas baitha hai
jaise mayyat qareeb rakhi ho
aur marne ke ba'ad har har baat
marne waale ki yaad aati ho
jaane kya kya zara tavakkuf se
soch leta hai aur rota hai
lekin itni khabar kahaan us ko
zindagi ke ajeeb haathon mein
ye bhi mitti ka ik khilauna hai
------------------------------------
"खिलौना"
देर से एक ना-समझ बच्चा
इक खिलौने के टूट जाने पर
इस तरह से उदास बैठा है
जैसे मय्यत क़रीब रक्खी हो
और मरने के बा'द हर हर बात
मरने वाले की याद आती हो
जाने क्या क्या ज़रा तवक़्क़ुफ़ से
सोच लेता है और रोता है
लेकिन इतनी ख़बर कहाँ उस को
ज़िंदगी के अजीब हाथों में
ये भी मिट्टी का इक खिलौना है
 
Read more

5. Adnaa sa baasi..

"Adnaa sa baasi"
kal bhi meri pyaas pe dariya hanste the
aaj bhi mere dard ka darmaan koi nahin
main is dharti ka adnaa sa baasi hoon
sach poocho to mujh sa pareshaan koi nahin
kaise kaise khwaab bune the aankhon ne
aaj bhi un khwaabon sa arzaan koi nahin
kal bhi mere zakham bhunaaye jaate the
aaj bhi mere haath mein daamaan koi nahin
kal mera neelaam kiya tha ghairoon ne
aaj to mere apne beche dete hain
sach poocho to meri khata bas itni hai
main is dharti ka adnaa sa baasi hoon
------------------------------------------
 "अदना सा बासी"
कल भी मेरी प्यास पे दरिया हँसते थे
आज भी मेरे दर्द का दरमाँ कोई नहीं
मैं इस धरती का अदना सा बासी हूँ
सच पूछो तो मुझ सा परेशाँ कोई नहीं
कैसे कैसे ख़्वाब बुने थे आँखों ने
आज भी उन ख़्वाबों सा अर्ज़ां कोई नहीं
कल भी मेरे ज़ख़्म भुनाए जाते थे
आज भी मेरे हाथ में दामाँ कोई नहीं
कल मेरा नीलाम किया था ग़ैरों ने
आज तो मेरे अपने बेचे देते हैं
सच पूछो तो मेरी ख़ता बस इतनी है
मैं इस धरती का अदना सा बासी हूँ
Read more

6. Deevane ki jannat..

"Deevane ki jannat"
mera ye khwaab ki tum mere qareeb aayi ho
apne saaye se jhijhakti hui ghabraati hui
apne ehsaas ki tahreek pe sharmaati hui
apne qadmon ki bhi awaaz se katraati hui
apni saanson ke mehakte hue andaaz liye
apni khaamoshi mein gehnaaye hue raaz liye
apne honton pe ik anjaam ka aaghaaz liye
dil ki dhadkan ko bahut rokti samjhaati hui
apni paayal ki ghazal-khwaani pe jhallaati hui
narm shaanon pe jawaani ka naya baar liye
shokh aankhon mein hijaabaat se inkaar liye
tez nabzon mein mulaqaat ke aasaar liye
kaale baalon se bikhrti hui champa ki mahak
surkh aariz pe damakte hue shaalon ki chamak
neechi nazaron mein samaai hui khuddaar jhijak
nuqraai jism pe vo chaand ki kirnon ki fuwaar
chaandni raat mein bujhta hua palkon ka sitaar
fart-e-jazbaat se mahki hui saanson ki qataar
door maazi ki bad-anjaam rivaayat liye
neechi nazrein wahi ehsaas-e-mulaqaat liye
wahi maahol wahi taaron bhari raat liye
aaj tum aayi ho dohraati hui maazi ko
mera ye khwaab ki tum mere qareeb aayi ho
kaash ik khwaab rahe talkh haqeeqat na bane
ye mulaqaat bhi deewane ki jannat na bane 
-----------------------------------------------
"दीवाने की जन्नत"
मेरा ये ख़्वाब कि तुम मेरे क़रीब आई हो
अपने साए से झिझकती हुई घबराती हुई
अपने एहसास की तहरीक पे शरमाती हुई
अपने क़दमों की भी आवाज़ से कतराती हुई
अपनी साँसों के महकते हुए अंदाज़ लिए
अपनी ख़ामोशी में गहनाए हुए राज़ लिए
अपने होंटों पे इक अंजाम का आग़ाज़ लिए
दिल की धड़कन को बहुत रोकती समझाती हुई
अपनी पायल की ग़ज़ल-ख़्वानी पे झल्लाती हुई
नर्म शानों पे जवानी का नया बार लिए
शोख़ आँखों में हिजाबात से इंकार लिए
तेज़ नब्ज़ों में मुलाक़ात के आसार लिए
काले बालों से बिखरती हुई चम्पा की महक
सुर्ख़ आरिज़ पे दमकते हुए शालों की चमक
नीची नज़रों में समाई हुई ख़ुद्दार झिजक
नुक़रई जिस्म पे वो चाँद की किरनों की फुवार
चाँदनी रात में बुझता हुआ पलकों का सितार
फ़र्त-ए-जज़्बात से महकी हुई साँसों की क़तार
दूर माज़ी की बद-अंजाम रिवायात लिए
नीची नज़रें वही एहसास-ए-मुलाक़ात लिए
वही माहौल वही तारों भरी रात लिए
आज तुम आई हो दोहराती हुई माज़ी को
मेरा ये ख़्वाब कि तुम मेरे क़रीब आई हो
काश इक ख़्वाब रहे तल्ख़ हक़ीक़त न बने
ये मुलाक़ात भी दीवाने की जन्नत न बने
Read more

7. khwaab nahin dekha..

"khwaab nahin dekha"
main ne muddat se koi khwaab nahin dekha hai
raat khilne ka gulaabon se mahak aane ka
os ki kyoon mein suraj ke samaa jaane ka
chaand si mitti ke zarroon se sada aane ka
shehar se door kisi gaav mein rah jaane ka
khet khaliyaanon mein baagon mein kahi gaane ka
subah ghar chhodne ka der se ghar aane ka
bahte jharnon ki khanakti hui aawazon ka
chahchahaati hui chidiyon se ladi shaakhon ka
nargisi aankhon mein hansati hui nadaani ka
muskuraate hue chehre ki ghazal khwaani ka
tera ho jaane tire pyaar mein kho jaane ka
tera kahlaane ka tera hi nazar aane ka
main ne muddat se koi khwaab nahin dekha hai
haath rakh de meri aankhon pe ki neend aa jaaye 
--------------------------------------------
"ख़्वाब नहीं देखा"
मैंने मुद्दत से कोई ख़्वाब नहीं देखा है
रात खिलने का गुलाबों से महक आने का
ओस की बूंदों में सूरज के समा जाने का
चाँद सी मिट्टी के ज़र्रों से सदा आने का
शहर से दूर किसी गाँव में रह जाने का
खेत खलियानों में बाग़ों में कहीं गाने का
सुबह घर छोड़ने का देर से घर आने का
बहते झरनों की खनकती हुई आवाज़ों का
चहचहाती हुई चिड़ियों से लदी शाख़ों का
नर्गिसी आँखों में हँसती हुई नादानी का
मुस्कुराते हुए चेहरे की ग़ज़ल ख़्वानी का
तेरा हो जाने तिरे प्यार में खो जाने का
तेरा कहलाने का तेरा ही नज़र आने का
मैं ने मुद्दत से कोई ख़्वाब नहीं देखा है
हाथ रख दे मिरी आँखों पे कि नींद आ जाए

Read more