1- Chaand ka khwaab ujalo ki nazar lagta hai
Tu jidhar ho ke guzar jaaye, khabar lagta hai
Us ki yaadon ne uga rakkhe hain sooraj itne
Shaam ka waqt bhi aaye to sahar lagta hai
Ek manzar pe thaharne nahi deti fitrat
Umr bhar aankh ki kismat mein safar lagta hai
Main nazar bhar ke tere jism ko jab dekhta hoon
Pehli baarish mein nahaaya sa shajar lagta hai
Be-sahara tha bahut pyaar koi poochhta kya
Tu ne kaanpade pe jagah di hai to sar lagta hai
Teri qurbat ke ye lamhe usay raas aayein kya
Subah hone ka jise shaam se dar lagta hai
2- Main is umeed pe dooba ke tu bacha lega
Ab is ke baad mira imtihan kya lega
Ye ek mela hai waada kisi se kya lega
Dhelega din to har ik apna rasta lega
Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaaunga
Koi chiraagh nahi hoon ke phir jala lega
Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be-amal hai wo badla kisi se kya lega
Main us ka ho nahi sakta bata na dena use
Lakeeren haath ki apni wo sab jala lega
Hazaar tod ke aa jao us se rishta 'Waseem'
Main jaanta hoon wo jab chahega bula lega
3- Mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaroori hai
Jo dil mein hai use aankhon se kehna zaroori hai
Usoolon par jahan aanch aaye takraana zaroori hai
Jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai
Nayi umron ki khud-mukhtariyon ko kaun samjhaaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai
Thake-haare parinde jab basere ke liye lautain
Saleekah-mand shaakhon ka lachak jaana zaroori hai
Bahut bebaak aankhon mein ta’alluq tik nahi paata
Mohabbat mein kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
Saleekah hi nahi shayad use mehsoos karne ka
Jo kehta hai Khuda hai to nazar aana zaroori hai
Mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho
Ke is ke baad bhi duniya mein kuch paana zaroori hai
4- Apne har har lafz ka khud aaina ho jaaunga
Us ko chhota keh ke main kaise bada ho jaaunga
Tum giraane mein lage the tum ne socha hi nahi
Main gira to mas’ala ban kar khada ho jaaunga
Mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar
Rasta roka gaya to kaafila ho jaaunga
Saari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa
Ik tere kehne se kya main bewafa ho jaaunga
5- Apne chehre se jo zahir hai chhupayein kaise
Teri marzi ke mutabiq nazar aayein kaise
Ghar sajane ka tasavvur to bahut ba’d ka hai
Pehle ye tay ho ke is ghar ko bachayein kaise
Laakh talwaron ki badhi aati hon gardan ki taraf
Sar jhukana nahi aata to jhukayein kaise
Qahqaha aankh ka bartav badal deta hai
Hansne wale tujhe aansu nazar aayein kaise
Phool se rang juda hona koi khel nahi
Apni mitti ko kahin chhod ke jaayein kaise
Koi apni hi nazar se to humein dekhega
Ek qatre ko samundar nazar aayein kaise
Jis ne danista kiya ho nazar-andaz 'Waseem'
Us ko kuch yaad dilayein to dilayein kaise
------------------------------------------
1- चाँद का ख़्वाब उजालों की नज़र लगता है
तू जिधर हो के गुज़र जाए ख़बर लगता है
उस की यादों ने उगा रक्खे हैं सूरज इतने
शाम का वक़्त भी आए तो सहर लगता है
एक मंज़र पे ठहरने नहीं देती फ़ितरत
उम्र भर आँख की क़िस्मत में सफ़र लगता है
मैं नज़र भर के तिरे जिस्म को जब देखता हूँ
पहली बारिश में नहाया सा शजर लगता है
बे-सहारा था बहुत प्यार कोई पूछता क्या
तू ने काँधे पे जगह दी है तो सर लगता है
तेरी क़ुर्बत के ये लम्हे उसे रास आएँ क्या
सुब्ह होने का जिसे शाम से डर लगता है
2- मैं इस उमीद पे डूबा कि तू बचा लेगा
अब इस के बा'द मिरा इम्तिहान क्या लेगा
ये एक मेला है वा'दा किसी से क्या लेगा
ढलेगा दिन तो हर इक अपना रास्ता लेगा
मैं बुझ गया तो हमेशा को बुझ ही जाऊँगा
कोई चराग़ नहीं हूँ कि फिर जला लेगा
कलेजा चाहिए दुश्मन से दुश्मनी के लिए
जो बे-अमल है वो बदला किसी से क्या लेगा
मैं उस का हो नहीं सकता बता न देना उसे
लकीरें हाथ की अपनी वो सब जला लेगा
हज़ार तोड़ के आ जाऊँ उस से रिश्ता 'वसीम'
मैं जानता हूँ वो जब चाहेगा बुला लेगा
3- मोहब्बत ना-समझ होती है समझाना ज़रूरी है
जो दिल में है उसे आँखों से कहलाना ज़रूरी है
उसूलों पर जहाँ आँच आए टकराना ज़रूरी है
जो ज़िंदा हो तो फिर ज़िंदा नज़र आना ज़रूरी है
नई उम्रों की ख़ुद-मुख़्तारियों को कौन समझाए
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है
थके-हारे परिंदे जब बसेरे के लिए लौटें
सलीक़ा-मंद शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है
बहुत बेबाक आँखों में त'अल्लुक़ टिक नहीं पाता
मोहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है
सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है
मिरे होंटों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
कि इस के बा'द भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है
4- अपने हर हर लफ़्ज़ का ख़ुद आइना हो जाऊँगा
उस को छोटा कह के मैं कैसे बड़ा हो जाऊँगा
तुम गिराने में लगे थे तुम ने सोचा ही नहीं
मैं गिरा तो मसअला बन कर खड़ा हो जाऊँगा
मुझ को चलने दो अकेला है अभी मेरा सफ़र
रास्ता रोका गया तो क़ाफ़िला हो जाऊँगा
सारी दुनिया की नज़र में है मिरा अहद-ए-वफ़ा
इक तिरे कहने से क्या मैं बेवफ़ा हो जाऊँगा
5- अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपाएँ कैसे
तेरी मर्ज़ी के मुताबिक़ नज़र आएँ कैसे
घर सजाने का तसव्वुर तो बहुत ब'अद का है
पहले ये तय हो कि इस घर को बचाएँ कैसे
लाख तलवारें बढ़ी आती हों गर्दन की तरफ़
सर झुकाना नहीं आता तो झुकाएँ कैसे
क़हक़हा आँख का बरताव बदल देता है
हँसने वाले तुझे आँसू नज़र आएँ कैसे
फूल से रंग जुदा होना कोई खेल नहीं
अपनी मिट्टी को कहीं छोड़ के जाएँ कैसे
कोई अपनी ही नज़र से तो हमें देखेगा
एक क़तरे को समुंदर नज़र आएँ कैसे
जिस ने दानिस्ता किया हो नज़र-अंदाज़ 'वसीम'
उस को कुछ याद दिलाएँ तो दिलाएँ कैसे