Waseem Barelavi Poetry

vo mujh ko kya bataana chahta hai


vo mujh ko kya bataana chahta hai

vo mujh ko kya bataana chahta hai
jo duniya se chhupaana chahta hai

mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon
jise saara zamaana chahta hai

qalam karna kahaan hai us ka mansha
vo mera sar jhukaana chahta hai

shikaayat ka dhuaan aankhon se dil tak
ta'alluq toot jaana chahta hai

taqaza waqt ka kuchh bhi ho ye dil
wahi qissa puraana chahta hai 
-------------------------------
वो मुझ को क्या बताना चाहता है
जो दुनिया से छुपाना चाहता है

मुझे देखो कि मैं उस को ही चाहूँ
जिसे सारा ज़माना चाहता है

क़लम करना कहाँ है उस का मंशा
वो मेरा सर झुकाना चाहता है

शिकायत का धुआँ आँखों से दिल तक
तअ'ल्लुक़ टूट जाना चाहता है

तक़ाज़ा वक़्त का कुछ भी हो ये दिल
वही क़िस्सा पुराना चाहता है

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 40