Waseem Barelavi Poetry

vo mere ghar nahin aata main us ke ghar nahin jaata


vo mere ghar nahin aata main us ke ghar nahin jaata

vo mere ghar nahin aata main us ke ghar nahin jaata
magar in ehtiyaaton se ta'alluq mar nahin jaata

bure achhe hon jaise bhi hon sab rishte yahin ke hain
kisi ko saath duniya se koi le kar nahin jaata

gharo ki tarbiyat kya aa gai tv ke haathon mein
koi baccha ab apne baap ke oopar nahin jaata

khule the shehar mein sau dar magar ik had ke andar hi
kahaan jaata agar main laut ke phir ghar nahin jaata

mohabbat ke ye aansu hain unhen aankhon mein rahne do
shareefon ke gharo ka mas'ala baahar nahin jaata

waseem us se kaho duniya bahut mahdood hai meri
kisi dar ka jo ho jaaye vo phir dar dar nahin jaata 
------------------------------------------------
वो मेरे घर नहीं आता मैं उस के घर नहीं जाता
मगर इन एहतियातों से तअ'ल्लुक़ मर नहीं जाता

बुरे अच्छे हों जैसे भी हों सब रिश्ते यहीं के हैं
किसी को साथ दुनिया से कोई ले कर नहीं जाता

घरों की तर्बियत क्या आ गई टी-वी के हाथों में
कोई बच्चा अब अपने बाप के ऊपर नहीं जाता

खुले थे शहर में सौ दर मगर इक हद के अंदर ही
कहाँ जाता अगर मैं लौट के फिर घर नहीं जाता

मोहब्बत के ये आँसू हैं उन्हें आँखों में रहने दो
शरीफ़ों के घरों का मसअला बाहर नहीं जाता

'वसीम' उस से कहो दुनिया बहुत महदूद है मेरी
किसी दर का जो हो जाए वो फिर दर दर नहीं जाता

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 26