Waseem Barelavi Poetry

udaasiyon mein bhi raaste nikaal leta hai


udaasiyon mein bhi raaste nikaal leta hai

udaasiyon mein bhi raaste nikaal leta hai
ajeeb dil hai girun to sanbhaal leta hai

ye kaisa shakhs hai kitni hi achhi baat kaho
koi buraai ka pahluu nikaal leta hai

dhale to hoti hai kuchh aur ehtiyaat ki umr
ki bahte bahte ye dariya uchaal leta hai

bade-badoon ki tarah-daariyaan nahin chaltiin
urooj teri khabar jab zawaal leta hai

jab us ke jaam mein ik boond tak nahin hoti
vo meri pyaas ko phir bhi sanbhaal leta hai 
------------------------------------------
उदासियों में भी रस्ते निकाल लेता है
अजीब दिल है गिरूँ तो सँभाल लेता है

ये कैसा शख़्स है कितनी ही अच्छी बात कहो
कोई बुराई का पहलू निकाल लेता है

ढले तो होती है कुछ और एहतियात की उम्र
कि बहते बहते ये दरिया उछाल लेता है

बड़े-बड़ों की तरह-दारियाँ नहीं चलतीं
उरूज तेरी ख़बर जब ज़वाल लेता है

जब उस के जाम में इक बूँद तक नहीं होती
वो मेरी प्यास को फिर भी सँभाल लेता है

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 63