Waseem Barelavi Poetry

tumhaari raah mein mitti ke ghar nahin aate


tumhaari raah mein mitti ke ghar nahin aate

tumhaari raah mein mitti ke ghar nahin aate
isee liye to tumhein ham nazar nahin aate

mohabbaton ke dinon ki yahi kharaabi hai
ye rooth jaayen to phir laut kar nahin aate

jinhen saleeqa hai tehzeeb-e-gham samajhne ka
unhin ke rone mein aansu nazar nahin aate

khushi ki aankh mein aansu ki bhi jagah rakhna
bure zamaane kabhi pooch kar nahin aate

bisaat-e-ishq pe badhna kise nahin aata
ye aur baat ki bachne ke ghar nahin aate

waseem zehan banaate hain to wahi akhbaar
jo le ke ek bhi achhi khabar nahin aate
-------------------------------------
 तुम्हारी राह में मिट्टी के घर नहीं आते
इसी लिए तो तुम्हें हम नज़र नहीं आते

मोहब्बतों के दिनों की यही ख़राबी है
ये रूठ जाएँ तो फिर लौट कर नहीं आते

जिन्हें सलीक़ा है तहज़ीब-ए-ग़म समझने का
उन्हीं के रोने में आँसू नज़र नहीं आते

ख़ुशी की आँख में आँसू की भी जगह रखना
बुरे ज़माने कभी पूछ कर नहीं आते

बिसात-ए-इश्क़ पे बढ़ना किसे नहीं आता
ये और बात कि बचने के घर नहीं आते

'वसीम' ज़ेहन बनाते हैं तो वही अख़बार
जो ले के एक भी अच्छी ख़बर नहीं आते

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 30