Waseem Barelavi Poetry

main tum se chhoot raha hoon mere pyaaro


main tum se chhoot raha hoon mere pyaaro

main tum se chhoot raha hoon mere pyaaro
magar mera rishta pukhta ho raha hai is zameen se
jis ki god mein samaane ke liye
main ne poori zindagi rehearsal ki hai
kabhi kuchh kho kar kabhi kuchh pa kar
kabhi hans kar kabhi ro kar
pehle din se mujhe apni manzil ka pata tha
isee liye main kabhi zor se nahin chala
aur jinhen zor se chalte dekha
taras khaaya un ki haalat par
is liye ki vo jaante hi na the
ki vo kya kar rahe hain 
--------------------------------
मैं तुम से छूट रहा हूँ मिरे प्यारो
मगर मिरा रिश्ता पुख़्ता हो रहा है इस ज़मीं से
जिस की गोद में समाने के लिए
मैं ने पूरी ज़िंदगी रीहरसल की है
कभी कुछ खो कर कभी कुछ पा कर
कभी हँस कर कभी रो कर
पहले दिन से मुझे अपनी मंज़िल का पता था
इसी लिए मैं कभी ज़ोर से नहीं चला
और जिन्हें ज़ोर से चलते देखा
तरस खाया उन की हालत पर
इस लिए कि वो जानते ही न थे
कि वो क्या कर रहे हैं


Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 64