Waseem Barelavi Poetry

Khilauna


Khilauna

"Khilauna"
der se ek na-samajh baccha
ik khilone ke toot jaane par
is tarah se udaas baitha hai
jaise mayyat qareeb rakhi ho
aur marne ke ba'ad har har baat
marne waale ki yaad aati ho
jaane kya kya zara tavakkuf se
soch leta hai aur rota hai
lekin itni khabar kahaan us ko
zindagi ke ajeeb haathon mein
ye bhi mitti ka ik khilauna hai
------------------------------------
"खिलौना"
देर से एक ना-समझ बच्चा
इक खिलौने के टूट जाने पर
इस तरह से उदास बैठा है
जैसे मय्यत क़रीब रक्खी हो
और मरने के बा'द हर हर बात
मरने वाले की याद आती हो
जाने क्या क्या ज़रा तवक़्क़ुफ़ से
सोच लेता है और रोता है
लेकिन इतनी ख़बर कहाँ उस को
ज़िंदगी के अजीब हाथों में
ये भी मिट्टी का इक खिलौना है
 

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 65