Waseem Barelavi Poetry

kahaan savaab kahaan kya azaab hota hai


kahaan savaab kahaan kya azaab hota hai

kahaan savaab kahaan kya azaab hota hai
mohabbaton mein kab itna hisaab hota hai

bichhad ke mujh se tum apni kashish na kho dena
udaas rahne se chehra kharab hota hai

use pata hi nahin hai ki pyaar ki baazi
jo haar jaaye wahi kaamyaab hota hai

jab us ke paas ganwaane ko kuchh nahin hota
to koi aaj ka izzat-maab hota hai

jise main likhta hoon aise ki khud hi padh paanv
kitaab-e-zeest mein aisa bhi baab hota hai

bahut bharosa na kar lena apni aankhon par
dikhaai deta hai jo kuchh vo khwaab hota hai 
-------------------------------------------------
कहाँ सवाब कहाँ क्या अज़ाब होता है
मोहब्बतों में कब इतना हिसाब होता है

बिछड़ के मुझ से तुम अपनी कशिश न खो देना
उदास रहने से चेहरा ख़राब होता है

उसे पता ही नहीं है कि प्यार की बाज़ी
जो हार जाए वही कामयाब होता है

जब उस के पास गँवाने को कुछ नहीं होता
तो कोई आज का इज़्ज़त-मआब होता है

जिसे मैं लिखता हूँ ऐसे कि ख़ुद ही पढ़ पाँव
किताब-ए-ज़ीस्त में ऐसा भी बाब होता है

बहुत भरोसा न कर लेना अपनी आँखों पर
दिखाई देता है जो कुछ वो ख़्वाब होता है

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 58