Waseem Barelavi Poetry

bhala ghamon se kahaan haar jaane waale the


bhala ghamon se kahaan haar jaane waale the

bhala ghamon se kahaan haar jaane waale the
ham aansuon kii tarah muskuraane waale the

humeen ne kar diya ailaan-e-gumrahi warna
hamaare peechhe bahut log aane waale the

unhen to khaak mein milna hi tha ki mere the
ye ashk kaun se unche gharaane waale the

unhen qareeb na hone diya kabhi main ne
jo dosti mein hadein bhool jaane waale the

main jin ko jaan ke pehchaan bhi nahin saktaa
kuchh aise log mera ghar jalane waale the

hamaara almeya ye tha ki hum-safar bhi hamein
wahi mile jo bahut yaad aane waale the

waseem kaisi taalluq kii raah thi jis mein
wahi mile jo bahut dil dukhaane waale the 
---------------------------------------
भला ग़मों से कहाँ हार जाने वाले थे
हम आँसुओं की तरह मुस्कुराने वाले थे

हमीं ने कर दिया ऐलान-ए-गुमरही वर्ना
हमारे पीछे बहुत लोग आने वाले थे

उन्हें तो ख़ाक में मिलना ही था कि मेरे थे
ये अश्क कौन से ऊँचे घराने वाले थे

उन्हें क़रीब न होने दिया कभी मैं ने
जो दोस्ती में हदें भूल जाने वाले थे

मैं जिन को जान के पहचान भी नहीं सकता
कुछ ऐसे लोग मिरा घर जलाने वाले थे

हमारा अलमिया ये था कि हम-सफ़र भी हमें
वही मिले जो बहुत याद आने वाले थे

'वसीम' कैसी तअल्लुक़ की राह थी जिस में
वही मिले जो बहुत दिल दुखाने वाले थे

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 33