Waseem Barelavi Poetry

beete hue din khud ko jab dohraate hain


beete hue din khud ko jab dohraate hain

beete hue din khud ko jab dohraate hain
ek se jaane ham kitne ho jaate hain

ham bhi dil ki baat kahaan kah paate hain
aap bhi kuchh kahte kahte rah jaate hain

khushboo apne raaste khud tay karti hai
phool to daali ke ho kar rah jaate hain

roz naya ik qissa kehne waale log
kahte kahte khud qissa ho jaate hain

kaun bachaayega phir todne waalon se
phool agar shaakhon se dhokha khaate hain 
-----------------------------------------
बीते हुए दिन ख़ुद को जब दोहराते हैं
एक से जाने हम कितने हो जाते हैं

हम भी दिल की बात कहाँ कह पाते हैं
आप भी कुछ कहते कहते रह जाते हैं

ख़ुश्बू अपने रस्ते ख़ुद तय करती है
फूल तो डाली के हो कर रह जाते हैं

रोज़ नया इक क़िस्सा कहने वाले लोग
कहते कहते ख़ुद क़िस्सा हो जाते हैं

कौन बचाएगा फिर तोड़ने वालों से
फूल अगर शाख़ों से धोखा खाते हैं

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 29