urdu poet

jab raat ki tanhaai dil ban ke dhadkati hai..

jab raat ki tanhaai dil ban ke dhadkati hai
yaadon ke dareechon mein chilman si sarkati hai

loban mein chingaari jaise koi rakh jaaye
yun yaad tiri shab bhar seene mein sulagti hai

yun pyaar nahin chhupta palkon ke jhukaane se
aankhon ke lifaafon mein tahreer chamakti hai

khush-rang parindon ke laut aane ke din aaye
bichhde hue milte hain jab barf pighalti hai

shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis daal pe baithe ho vo toot bhi sakti hai 
-------------------------------------------
जब रात की तन्हाई दिल बन के धड़कती है
यादों के दरीचों में चिलमन सी सरकती है

लोबान में चिंगारी जैसे कोई रख जाए
यूँ याद तिरी शब भर सीने में सुलगती है

यूँ प्यार नहीं छुपता पलकों के झुकाने से
आँखों के लिफ़ाफ़ों में तहरीर चमकती है

ख़ुश-रंग परिंदों के लौट आने के दिन आए
बिछड़े हुए मिलते हैं जब बर्फ़ पिघलती है

शोहरत की बुलंदी भी पल भर का तमाशा है
जिस डाल पे बैठे हो वो टूट भी सकती है
Read more

khushboo ki tarah aaya vo tez hawaon mein..

khushboo ki tarah aaya vo tez hawaon mein
maanga tha jise ham ne din raat duaon mein

tum chat pe nahin aaye main ghar se nahin nikla
ye chaand bahut bhatka saawan ki ghataon mein

is shehar mein ik ladki bilkul hai ghazal jaisi
bijli si ghataon mein khushboo si adaaon mein

mausam ka ishaara hai khush rahne do bacchon ko
maasoom mohabbat hai phoolon ki khataaon mein

ham chaand sitaaron ki raahon ke musaafir hain
ham raat chamakte hain tareek khalaon mein

bhagwaan hi bhejenge chaawal se bhari thaali
mazloom parindon ki maasoom sabhaaon mein

daada bade bhole the sab se yahi kahte the
kuchh zahar bhi hota hai angrezee davaaon mein 
-----------------------------------------------
ख़ुशबू की तरह आया वो तेज़ हवाओं में
माँगा था जिसे हम ने दिन रात दुआओं में

तुम छत पे नहीं आए मैं घर से नहीं निकला
ये चाँद बहुत भटका सावन की घटाओं में

इस शहर में इक लड़की बिल्कुल है ग़ज़ल जैसी
बिजली सी घटाओं में ख़ुशबू सी अदाओं में

मौसम का इशारा है ख़ुश रहने दो बच्चों को
मासूम मोहब्बत है फूलों की ख़ताओं में

हम चाँद सितारों की राहों के मुसाफ़िर हैं
हम रात चमकते हैं तारीक ख़लाओं में

भगवान ही भेजेंगे चावल से भरी थाली
मज़लूम परिंदों की मासूम सभाओं में

दादा बड़े भोले थे सब से यही कहते थे
कुछ ज़हर भी होता है अंग्रेज़ी दवाओं में
Read more

khuda ham ko aisi khudaai na de..

khuda ham ko aisi khudaai na de
ki apne siva kuchh dikhaai na de

khata-waar samjhegi duniya tujhe
ab itni ziyaada safaai na de

haso aaj itna ki is shor mein
sada siskiyon kii sunaai na de

ghulaami ko barkat samajhne lagen
asiroon ko aisi rihaai na de

khuda aise ehsaas ka naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de 
----------------------------------
ख़ुदा हम को ऐसी ख़ुदाई न दे
कि अपने सिवा कुछ दिखाई न दे

ख़ता-वार समझेगी दुनिया तुझे
अब इतनी ज़ियादा सफ़ाई न दे

हँसो आज इतना कि इस शोर में
सदा सिसकियों की सुनाई न दे

ग़ुलामी को बरकत समझने लगें
असीरों को ऐसी रिहाई न दे

ख़ुदा ऐसे एहसास का नाम है
रहे सामने और दिखाई न दे
Read more

she'r mere kahaan the kisi ke liye..

she'r mere kahaan the kisi ke liye
maine sab kuchh likha hai tumhaare liye

apne dukh sukh bahut khoobsurat rahe
ham jiye bhi to ik doosre ke liye

hum-safar ne mera saath chhodaa nahin
apne aansu diye raaste ke liye

is haveli mein ab koii rehta nahin
chaand nikla kise dekhne ke liye

zindagi aur main do alag to nahin
main ne sab phool kaate isi se liye

shehar mein ab mera koii dushman nahin
sab ko apna liya maine tere liye

zehan mein titliyan ud rahi hain bahut
koii dhaaga nahin baandhne ke liye

ek tasveer ghazalon mein aisi bani
agle pichhle zamaanon ke chehre liye 
-------------------------------------
शे'र मेरे कहाँ थे किसी के लिए
मैंने सब कुछ लिखा है तुम्हारे लिए

अपने दुख सुख बहुत ख़ूबसूरत रहे
हम जिए भी तो इक दूसरे के लिए

हम-सफ़र ने मिरा साथ छोड़ा नहीं
अपने आँसू दिए रास्ते के लिए

इस हवेली में अब कोई रहता नहीं
चाँद निकला किसे देखने के लिए

ज़िंदगी और मैं दो अलग तो नहीं
मैं ने सब फूल काटे इसी से लिए

शहर में अब मिरा कोई दुश्मन नहीं
सब को अपना लिया मैंने तेरे लिए

ज़ेहन में तितलियाँ उड़ रही हैं बहुत
कोई धागा नहीं बाँधने के लिए

एक तस्वीर ग़ज़लों में ऐसी बनी
अगले पिछले ज़मानों के चेहरे लिए
Read more

parakhnaa mat parkhne mein koi apna nahin rehta..

parakhnaa mat parkhne mein koi apna nahin rehta
kisi bhi aaine mein der tak chehra nahin rehta

bade logon se milne mein hamesha fasla rakhna
jahaan dariya samundar se mila dariya nahin rehta

hazaaron sher mere so gaye kaaghaz ki qabron mein
ajab maa hoon koi baccha mera zinda nahin rehta

mohabbat ek khushboo hai hamesha saath chalti hai
koi insaan tanhaai mein bhi tanhaa nahin rehta 
-----------------------------------------------
परखना मत परखने में कोई अपना नहीं रहता
किसी भी आइने में देर तक चेहरा नहीं रहता

बड़े लोगों से मिलने में हमेशा फ़ासला रखना
जहाँ दरिया समुंदर से मिला दरिया नहीं रहता

हज़ारों शेर मेरे सो गए काग़ज़ की क़ब्रों में
अजब माँ हूँ कोई बच्चा मिरा ज़िंदा नहीं रहता

मोहब्बत एक ख़ुशबू है हमेशा साथ चलती है
कोई इंसान तन्हाई में भी तन्हा नहीं रहता
Read more

aahan mein dhalti jaayegi ikkeesveen sadi..

aahan mein dhalti jaayegi ikkeesveen sadi
phir bhi ghazal sunaayegi ikkeesveen sadi

baghdaad dilli maasko london ke darmiyaan
baarood bhi bichaayegi ikkeesveen sadi

jal kar jo raakh ho gaeein dangoon mein is baras
un jhuggiyoon mein aayegi ikkeesveen sadi

tahzeeb ke libaas utar jaayenge janab
dollar mein yun nachaayegi ikkeesveen sadi

le ja ke aasmaan pe taaron ke aas-paas
america ko giraayegi ikkeesveen sadi

ik yaatra zaroor ho ninnayaanve ke paas
rath par sawaar aayegi ikkeesveen sadi

phir se khuda banaayega koi naya jahaan
duniya ko yun mitaayegi ikkeesveen sadi

computers se ghazlein likhenge basheer-badr
ghalib ko bhool jaayegi ikkeesveen sadi 
------------------------------------
आहन में ढलती जाएगी इक्कीसवीं सदी
फिर भी ग़ज़ल सुनाएगी इक्कीसवीं सदी

बग़दाद दिल्ली मास्को लंदन के दरमियाँ
बारूद भी बिछाएगी इक्कीसवीं सदी

जल कर जो राख हो गईं दंगों में इस बरस
उन झुग्गियों में आएगी इक्कीसवीं सदी

तहज़ीब के लिबास उतर जाएँगे जनाब
डॉलर में यूँ नचाएगी इक्कीसवीं सदी

ले जा के आसमान पे तारों के आस-पास
अमरीका को गिराएगी इक्कीसवीं सदी

इक यात्रा ज़रूर हो निन्नयानवे के पास
रथ पर सवार आएगी इक्कीसवीं सदी

फिर से ख़ुदा बनाएगा कोई नया जहाँ
दुनिया को यूँ मिटाएगी इक्कीसवीं सदी

कम्पयूटरों से ग़ज़लें लिखेंगे 'बशीर-बद्र'
'ग़ालिब' को भूल जाएगी इक्कीसवीं सदी
Read more

Us dar ka darbaan bana de ya Allah..

Us dar ka darbaan bana de ya Allah
Mujhko bhi sultan bana de ya Allah

In aankhon se tere naam ki baarish ho
Patthar hoon, insaan bana de ya Allah

Sehma dil, tooti kashti, chadhta darya
Har mushkil aasaan bana de ya Allah

Main jab chaahun, jhaank ke tujhko dekh sakoon
Dil ko roshandaan bana de ya Allah

Mera bachcha saada kaaghaz jaisa hai
Ek harf-e-imaan bana de ya Allah

Chaand-sitare jhuk kar kadmon ko choomen
Aisa Hindostan bana de ya Allah
--------------------------------------
उस दर का दरबान बना दे या अल्लाह
मुझको भी सुल्तान बना दे या अल्लाह

इन आँखों से तेरे नाम की बारिश हो
पत्थर हूँ, इन्सान बना दे या अल्लाह

सहमा दिल, टूटी कश्ती, चढ़ता दरया
हर मुश्किल आसान बना दे या अल्लाह

मैं जब चाहूँ झाँक के तुझको देख सकूँ
दिल को रोशनदान बना दे या अल्लाह

मेरा बच्चा सादा काग़ज़ जैसा है
इक हर्फ़े ईमान बना दे या अल्लाह

चाँद-सितारे झुक कर क़दमों को चूमें
ऐसा हिन्दोस्तान बना दे या अल्लाह
Read more

Meri aankhon mein tere pyaar ka aansoo aaye..

Meri aankhon mein tere pyaar ka aansoo aaye
Koi khushboo main lagaoon, teri khushboo aaye

Waqt-e-rukhsat kahin taare, kahin jugnu aaye
Haar pehnane mujhe phool se baazu aaye

Maine din-raat Khuda se yeh dua maangi thi
Koi aahat na ho dar par mere jab tu aaye

In dino aap ka aalam bhi ajab aalam hai
Teer khaya hua jaise koi aahoo aaye

Uski baatein ki gul-o-lala pe shabnam barse
Sab ko apnane ka us shokh ko jaadu aaye

Usne chhoo kar mujhe patthar se phir insaan kiya
Muddaton baad meri aankhon mein aansoo aaye
-------------------------------------------
मेरी आंखों में तिरे प्यार का आंसू आए
कोई ख़ुशबू मैं लगाऊंतिरी ख़ुशबू आए

वक़्त-ए-रुख़्सत कहीं तारे कहीं जुगनू आए
हार पहनाने मुझे फूल से बाज़ू आए

मैं ने दिन रात ख़ुदा से ये दुआ मांगी थी
कोई आहट न हो दर पर मिरे जब तू आए

इन दिनों आप का आलम भी अजब आलम है
तीर खाया हुआ जैसे कोई आहू आए

उस की बातें कि गुल-ओ-लाला पे शबनम बरसे
सब को अपनाने का उस शोख़ को जादू आए

उस ने छू कर मुझे पत्थर से फिर इंसान किया
मुद्दतों बाद मिरी आंखों में आंसू आए
Read more

Abhi is taraf na nigah kar, main ghazal ki palkein sanvaar loon..

Abhi is taraf na nigah kar, main ghazal ki palkein sanvaar loon
Mera lafz-lafz ho aaina, tujhe aaine mein utaar loon

Main tamaam din ka thaka hua, tu tamaam shab ka jaga hua
Zara thehar ja isi mod par, tere saath shaam guzaar loon

Agar aasmaan ki numaishon mein mujhe bhi izn-e-qayam ho
To main motiyon ki dukaan se teri baaliyan, tere haar loon

Kahin aur baant de shohratein, kahin aur bakhsh de izzatein
Mere paas hai mera aaina, main kabhi na gard-o-ghubaar loon

Kai ajnabi teri raah mein, mere paas se yun guzhar gaye
Jinhein dekh kar yeh tadap hui, tera naam le ke pukar loon
-----------------------------------------------------------
अभी इस तरफ़ न निगाह कर मैं ग़ज़ल की पलकें संवार लूं
मिरा लफ़्ज़ लफ़्ज़ हो आईना तुझे आइने में उतार लूं

मैं तमाम दिन का थका हुआ तू तमाम शब का जगा हुआ
ज़रा ठहर जा इसी मोड़ पर तेरे साथ शाम गुज़ार लूं

अगर आसमां की नुमाइशों में मुझे भी इज़्न-ए-क़याम हो
तो मैं मोतियों की दुकान से तिरी बालियां तिरे हार लूं

कहीं और बांट दे शोहरतें कहीं और बख़्श दे इज़्ज़तें
मिरे पास है मिरा आईना मैं कभी न गर्द-ओ-ग़ुबार लूं

कई अजनबी तिरी राह में मिरे पास से यूं गुज़र गए
जिन्हें देख कर ये तड़प हुई तिरा नाम ले के पुकार लूं
Read more

Kahaan aansuon ki yeh saugaat hogi..

Kahaan aansuon ki yeh saugaat hogi
Naye log honge, nai baat hogi

Main har haal mein muskurata rahunga
Tumhari mohabbat agar saath hogi

Chiragon ko aankhon mein mehfooz rakhna
Badi door tak raat hi raat hogi

Pareshan ho tum bhi, pareshan hoon main bhi
Chalo mai-kade mein, wahin baat hogi

Chiragon ki lau se, sitaron ki zau tak
Tumhein main milunga, jahan raat hogi

Jahan waadiyon mein naye phool aaye
Hamari tumhari mulaqaat hogi

Sadaon ko alfaaz milne na payen
Na baadal ghirenge, na barsaat hogi

Musafir hain hum bhi, musafir ho tum bhi
Kisi mod par phir mulaqaat hogi
------------------------------------
कहाँ आँसुओं की ये सौग़ात होगी
नए लोग होंगे नई बात होगी

मैं हर हाल में मुस्कुराता रहूँगा
तुम्हारी मोहब्बत अगर साथ होगी

चराग़ों को आँखों में महफ़ूज़ रखना
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी

परेशां हो तुम भी परेशां हूँ मैं भी
चलो मय-कदे में वहीं बात होगी

चराग़ों की लौ से सितारों की ज़ौ तक
तुम्हें मैं मिलूँगा जहाँ रात होगी

जहाँ वादियों में नए फूल आए
हमारी तुम्हारी मुलाक़ात होगी

सदाओं को अल्फ़ाज़ मिलने न पाएँ
न बादल घिरेंगे न बरसात होगी

मुसाफ़िर हैं हम भी मुसाफ़िर हो तुम भी
किसी मोड़ पर फिर मुलाक़ात होगी
Read more