Top 20 most famous Shayari of Jaun Elia
1. Apne sab yaar kaam kar rahe hain
Aur hum hain ke naam kar rahe hain
2. Ab to har baat yaad rehti hai
Ghaliban main kisi ko bhool gaya
3. Ab meri koi zindagi hi nahi
Ab bhi tum meri zindagi ho kya
4. Ilaaj ye hai ke majboor kar diya jaun
Wagarna yun to kisi ki nahi suni maine
5. Us gali ne ye sun ke sabr kiya
Jaane waale yahan ke the hi nahi
6. Ek hi to hawas rahi hai humein
Apni haalat tabaah ki jaaye
7. Kya takalluf karein ye kehne mein
Jo bhi khush hai hum us se jalte hain
8. Kaise kahen ke tujh ko bhi hum se hai waasta koi
Tu ne to hum se aaj tak koi gila nahi kiya
9. Kaam ki baat maine ki hi nahi
Ye mera taur-e-zindagi hi nahi
10. Kitne aish se rehte honge kitne itraate honge
Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge
11. Kitni dilkash ho tum kitna dil-joo hoon main
Kya sitam hai ke hum log mar jaayenge
12. Kaun se shauq kis hawas ka nahi
Dil meri jaan tere bas ka nahi
13. Kharch chalega ab mera kis ke hisaab mein bhala
Sab ke liye bahut hoon main apne liye zara nahi
14. Jama hum ne kiya hai gham dil mein
Is ka ab sood khaye jaayenge
15. Zindagi ek fun hai lamhon ko
Apne andaaz se ganwaane ka
16. Zindagi kis tarah basar hogi
Dil nahi lag raha mohabbat mein
17. Jo guzari na jaa saki hum se
Hum ne wo zindagi guzari hai
18. 'Jaun' duniya ki chakri kar ke
Tune dil ki wo naukri kya ki
19. Naya ik rishta paida kyun karein hum
Bichhadna hai to jhagra kyun karein hum
20. Nahi duniya ko jab parwah hamari
To phir duniya ki parwah kyun karein hum
Poet -
Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 181