Faiz Ahmed Faiz Poetry

sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein


sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein

sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein
kabhi sohbaten kabhi furqatein kabhi dooriyaan kabhi qurbaten

ye sukhun jo ham ne raqam kiye ye hain sab varq tiri yaad ke
koi lamha subh-e-visaal ka koi shaam-e-hijr ki muddatein

jo tumhaari maan len naaseha to rahega daaman-e-dil mein kya
na kisi adoo ki adaavaten na kisi sanam ki muravvatein

chalo aao tum ko dikhaayein ham jo bacha hai maqtal-e-shehr mein
ye mazaar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbatein

meri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane kaatib-e-waqt ne
kisi apne kal mein bhi bhool kar kahi likh rakhi hon masarratein 
-------------------------------------------------
सभी कुछ है तेरा दिया हुआ सभी राहतें सभी कुल्फ़तें
कभी सोहबतें कभी फ़ुर्क़तें कभी दूरियाँ कभी क़ुर्बतें

ये सुख़न जो हम ने रक़म किए ये हैं सब वरक़ तिरी याद के
कोई लम्हा सुब्ह-ए-विसाल का कोई शाम-ए-हिज्र की मुद्दतें

जो तुम्हारी मान लें नासेहा तो रहेगा दामन-ए-दिल में क्या
न किसी अदू की अदावतें न किसी सनम की मुरव्वतें

चलो आओ तुम को दिखाएँ हम जो बचा है मक़्तल-ए-शहर में
ये मज़ार अहल-ए-सफ़ा के हैं ये हैं अहल-ए-सिद्क़ की तुर्बतें

मिरी जान आज का ग़म न कर कि न जाने कातिब-ए-वक़्त ने
किसी अपने कल में भी भूल कर कहीं लिख रखी हों मसर्रतें

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 84