Tehzeeb Hafi Poetry

Ashk zaaya ho rahe the dekh kar rota na tha


Ashk zaaya ho rahe the dekh kar rota na tha

ashk zaaya ho rahe the dekh kar rota na tha
jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha

sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye
main to vo hoon jo kisi ki maut par rota na tha

mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhon ko kya
mera dukh ye hain ki mera hamsafar rota na tha

maine uske vasl mein bhi hijr kaata hai kahi
vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha

pyaar to pehle bhi usse tha magar itna nahin
tab main usko choo to leta tha magar rota na tha

giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye
meri aankhen dekh lo main waqt par rota na tha
----------------------------------------
अश्क ज़ाया हो रहे थे देख कर रोता न था
जिस जगह बनता था रोना मैं उधर रोता न था

सिर्फ़ तेरी चुप ने मेरे गाल गीले कर दिए
मैं तो वो हूँ जो किसी की मौत पर रोता न था

मुझपे कितने सानिहे गुज़रे पर उन आँखों को क्या
मेरा दुख ये हैं कि मेरा हमसफ़र रोता न था

मैंने उसके वस्ल में भी हिज्र काटा है कहीं
वो मेरे काँधे पे रख लेता था सर रोता न था

प्यार तो पहले भी उससे था मगर इतना नहीं
तब मैं उसको छू तो लेता था मगर रोता न था

गिर्या-ओ-ज़ारी को भी इक ख़ास मौसम चाहिए
मेरी आँखें देख लो मैं वक़्त पर रोता न था

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 121