Allama Iqbal Poetry

tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka vo zamaana


tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka vo zamaana

tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka vo zamaana
vo adab-gah-e-mohabbat vo nigaah ka taaziyaana

ye butaan-e-asr-e-haazir ki bane hain madarse mein
na ada-e-kaafiraana na taraash-e-aazraana

nahin is khuli fazaa mein koi gosha-e-faraaghat
ye jahaan ajab jahaan hai na qafas na aashiyana

rag-e-taak muntazir hai tiri baarish-e-karam ki
ki ajam ke may-kadon mein na rahi may-e-mugaana

mere ham-safeer ise bhi asar-e-bahaar samjhe
unhen kya khabar ki kya hai ye nawa-e-aashiqana

mere khaak o khun se tu ne ye jahaan kiya hai paida
sila-e-shaahid kya hai tab-o-taab-e-jaavedaana

tiri banda-parvari se mere din guzar rahe hain
na gila hai doston ka na shikaayat-e-zamaana
----------------------------------------------
तुझे याद क्या नहीं है मिरे दिल का वो ज़माना
वो अदब-गह-ए-मोहब्बत वो निगह का ताज़ियाना

ये बुतान-ए-अस्र-ए-हाज़िर कि बने हैं मदरसे में
न अदा-ए-काफ़िराना न तराश-ए-आज़राना

नहीं इस खुली फ़ज़ा में कोई गोशा-ए-फ़राग़त
ये जहाँ अजब जहाँ है न क़फ़स न आशियाना

रग-ए-ताक मुंतज़िर है तिरी बारिश-ए-करम की
कि अजम के मय-कदों में न रही मय-ए-मुग़ाना

मिरे हम-सफ़ीर इसे भी असर-ए-बहार समझे
उन्हें क्या ख़बर कि क्या है ये नवा-ए-आशिक़ाना

मिरे ख़ाक ओ ख़ूँ से तू ने ये जहाँ किया है पैदा
सिला-ए-शाहिद क्या है तब-ओ-ताब-ए-जावेदाना

तिरी बंदा-परवरी से मिरे दिन गुज़र रहे हैं
न गिला है दोस्तों का न शिकायत-ए-ज़माना

Poet - Allama Iqbal
Location: Sialkot, Punjab, British India (now in Pakistan)
Views: 35