Parveen Shakir Poetry

waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraaya nahin


waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraaya nahin

waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraaya nahin
us ko ham kya khoyenge jis ko kabhi paaya nahin

zindagi jitni bhi hai ab mustaqil sehra mein hai
aur is sehra mein tera door tak saaya nahin

meri qismat mein faqat dard-e-tah-e-saagar hi hai
awwal-e-shab jaam meri samt vo laaya nahin

teri aankhon ka bhi kuchh halka gulaabi rang tha
zehan ne mere bhi ab ke dil ko samjhaaya nahin

kaan bhi khaali hain mere aur dono haath bhi
ab ke fasl-e-gul ne mujh ko phool pahnaaya nahin 
----------------------------------------------
वक़्त-ए-रुख़्सत आ गया दिल फिर भी घबराया नहीं
उस को हम क्या खोएँगे जिस को कभी पाया नहीं

ज़िंदगी जितनी भी है अब मुस्तक़िल सहरा में है
और इस सहरा में तेरा दूर तक साया नहीं

मेरी क़िस्मत में फ़क़त दुर्द-ए-तह-ए-साग़र ही है
अव्वल-ए-शब जाम मेरी सम्त वो लाया नहीं

तेरी आँखों का भी कुछ हल्का गुलाबी रंग था
ज़ेहन ने मेरे भी अब के दिल को समझाया नहीं

कान भी ख़ाली हैं मेरे और दोनों हाथ भी
अब के फ़स्ल-ए-गुल ने मुझ को फूल पहनाया नहीं

Poet - Parveen Shakir
Location: Karachi, Pakistan
Views: 33