Tehzeeb Hafi Poetry

meri aankh se tera gam chhalk to nahin gaya


meri aankh se tera gam chhalk to nahin gaya

meri aankh se tera gam chhalk to nahin gaya
tujhe dhoondh kar kahi main bhatk to nahin gaya

yah jo itne pyaar se dekhta hai tu aajkal
mere dost tu kahi mujhse thak to nahin gaya

teri baddua ka asar hua bhi to faayda
mere maand padne se tu chamak to nahin gaya

bada purfareb hai shahdo shir ka zaayka
magar in labon se tera namak to nahin gaya

tere jism se meri guftagoo rahi raat bhar
kahi main nashe mein zyaada bak to nahin gaya 
--------------------------------------------
मेरी आंख से तेरा गम छलक तो नहीं गया
तुझे ढूंढ कर कहीं मैं भटक तो नहीं गया

यह जो इतने प्यार से देखता है तू आजकल
मेरे दोस्त तू कहीं मुझसे थक तो नहीं गया

तेरी बद्दुआ का असर हुआ भी तो फायदा
मेरे मांद पड़ने से तू चमक तो नहीं गया

बड़ा पुरफरेब है शहदो शिर का ज़ायका
मगर इन लबों से तेरा नमक तो नहीं गया

तेरे जिस्म से मेरी गुफ्तगू रही रात भर
कहीं मैं नशे में ज्यादा बक तो नहीं गया

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 168