Faiz Ahmed Faiz Poetry

yaad, dast-e-tanhaai mein ai jaan-e-jahaan larzaan hain


yaad,  dast-e-tanhaai mein ai jaan-e-jahaan larzaan hain

yaad
dast-e-tanhaai mein ai jaan-e-jahaan larzaan hain
teri awaaz ke saaye tire honton ke saraab
dast-e-tanhaai mein doori ke khas-o-khaak tale
khil rahe hain tire pahluu ke saman aur gulaab

uth rahi hai kahin qurbat se tiri saans kii aanch
apni khushboo mein sulagti hui madhham madhham
door ufuq paar chamakti hui qatra qatra
gir rahi hai tiri dildaar nazar kii shabnam

is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaan rakkha hai
dil ke rukhsaar pe is waqt tiri yaad ne haath
yun gumaan hota hai garche hai abhi subh-e-firaq
dhal gaya hijr ka din aa bhi gai vasl kii raat 
----------------------------------------
"याद"
दश्त-ए-तन्हाई में ऐ जान-ए-जहाँ लर्ज़ां हैं
तेरी आवाज़ के साए तिरे होंटों के सराब
दश्त-ए-तन्हाई में दूरी के ख़स-ओ-ख़ाक तले
खिल रहे हैं तिरे पहलू के समन और गुलाब

उठ रही है कहीं क़ुर्बत से तिरी साँस की आँच
अपनी ख़ुशबू में सुलगती हुई मद्धम मद्धम
दूर उफ़ुक़ पार चमकती हुई क़तरा क़तरा
गिर रही है तिरी दिलदार नज़र की शबनम

इस क़दर प्यार से ऐ जान-ए-जहाँ रक्खा है
दिल के रुख़्सार पे इस वक़्त तिरी याद ने हाथ
यूँ गुमाँ होता है गरचे है अभी सुब्ह-ए-फ़िराक़
ढल गया हिज्र का दिन आ भी गई वस्ल की रात

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 95