Umair Najmi Poetry

ye saath aath padosi kahaan se aaye mere


ye saath aath padosi kahaan se aaye mere

ye saath aath padosi kahaan se aaye mere
tumhaare dil mein to koi na tha sivaae mere

kisi ne paas bithaaya bas aage yaad nahin
mujhe to dost wahan se utha ke laaye mere

ye soch kar na kiye apne dard uske supurd
vo laalchi hai asaase na bech khaaye mere

idhar kidhar tu naya hai yahan ki paagal hai
kisi ne kya tujhe qisse nahin sunaaye mere

vo aazmaaye mere dost ko zaroor magar
use kaho ki tarike na aazmaaye mere
--------------------------------
ये सात आठ पड़ोसी कहाँ से आए मेरे
तुम्हारे दिल में तो कोई न था सिवाए मेरे

किसी ने पास बिठाया बस आगे याद नहीं
मुझे तो दोस्त वहाँ से उठा के लाए मेरे

ये सोच कर न किए अपने दर्द उसके सुपुर्द
वो लालची है असासे न बेच खाए मेरे

इधर किधर तू नया है यहाँ कि पागल है
किसी ने क्या तुझे क़िस्से नहीं सुनाए मेरे

वो आज़माए मेरे दोस्त को ज़रूर मगर
उसे कहो कि तरीके न आज़माए मेरे


Poet - Umair Najmi
Location: Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan
Views: 120