Farar by Sahir Ludhianvi
अपने गुज़रे हुए अय्याम से नफ़रत है मुझे
साहिर लुधियानवी की ये नज़्म को अकसर हम जब बहुत उदास या फिर दर्द मे होते हैं तो पढ़ते हैं, इस नज़्म मे साहिर ने अपने अतीत के बारे मे बताया है और साथ ही साहिर बताते हैं कैसे मोहब्बत मे दिल हारे शख्स को अपनी ख्वाइशों को पीछे छोड़ ज़िंदगी जीनी पड़ती है।
यह नज़्म साहिर की बहुत ही मशहूर किताब तल्खियाँ मे मौजूद है।
About Farar By Sahir Ludhianvi
Sahir Ludhainvi’s most famous Nazm : “APNE MAAZI KE TASAVVUR SE HIRASSAN HOO MAIN”. Farar By Sahir Ludhianvi is nazm introducing the past days of the Sahir Ludhaianvi. It is a sad nazm by Sahir which is available in the Talkhiyaan Book.
Farar by Sahir Ludhainvi Nazm in Hindi
अपनी बे-सूद उमीदों पे नदामत है मुझे
एक बे-नाम अज़िय्यत के सिवा कुछ भी नहीं
अपने ख़्वाबों में बसाए थे किसी की ख़ातिर
मैं ने उन मस्त निगाहों को सराहा ही नहीं
शौक़-ए-बेकार सही सई-ए-ग़म-ए-अंजाम नहीं
Farar by Sahir Ludhainvi Nazm in English
apne maazi ke tasavvur se hiraasaan houn main
apne guzre hue ayyaam se nafrat hai mujhe
apni bekar tamannaaon pe sharminda houn
apni besood umeedon pe nadaamat hai mujhe
mere maazi ko andhere mein dabaa rahne do
mera maazi meri zillat ke sivaa kuchh bhi nahin
meri umeedon kaa haasil, meri kaavish ka silaa
ek benaam azeeyat ke sivaa kuchh bhi nahin
kitni bekaar umeedon ka sahaaraa lekar
maine aivaan sajaaye the kisi ki Khaatir
kitni berabt tamannaaon ke mubham Khaake
apne Khwaabon mein basaaye the kisi ki Khaatir
mujhse ab meri muhabbat ke fasaane na kaho
mujhko kahne do k main ne unhein chaahaa hi nahin
aur vo mast nigaahein jo mujhe bhool gayin
main ne un mast nigaahon ko saraahaa hi nahin
mujhko kahne do k main aaj bhi jee saktaa houn
ishaq nakaam sahi, zindagi nakaam nahin
unhein apnaane ki khwaaish, unhein paane ki talab
shauq-e-bekaar sahi, sa’i-e-Gham-anjaam nahin
vahi gesoo, vahi nazrein, vahi aariz, vahi jism
main jo chaahoun to mujhe aur bhi mil sakte hain
vo kanval jinko kabhi unke liye khilna thaa
unki nazron se bahut door bhi khil sakte hain
About Sahir Ludhianvi
Sahir Ludhianvi (8 March 1921 – 25 October 1980), Popularly Known By His Pen Name (Takhallus) Sahir Ludhianvi, Was An Indian Poet And Film Song Lyricist Who Wrote Primarily In Urdu In Addition To Hindi. He Is Regarded One Of The Greatest And Revolutionary Film Lyricist And Poet Of The 20th Century India.
Poet : Sahir Ludhainvi
Birth Location : Ludhiana, India
Birth Date : 8th March 1921
Died on : 25th October 1980